پولوس رسول
Paulus Rasúl kí ‘izzat men du‘á
Ai Yisú‘ ham terí hamd karte aur terá shukr bajá láte
hain, ki tú ne Muqaddas Paulus par rahm kar ke, Masíhion ke satánewále sakht
dil insán ko kalísiyá ká sachá Rasúl banáyá. Tú ne Muqaddas Rasúl ke
dil ko Khudá aur kalísiyá kí muhabbat se ma‘múr kiyá, use pákízagí ká manád banáyá aur kámil tábidárí
ká á’la namúna ṭhahráyá. Ai Muqaddas Paulus
tú ne shahr shahr aur gánw gánw men, Injíl kí
manádí sache dil aur kámil muhabbat se kí.
Áj ham
terí sifárish cháhte hain, aur cháhte hain, ki ham apní
kamzorion aur khatáon se munh moṛen,
aur Yisú‘ Masíh ko apni zindagí ka
namúna banáen. Tú hamáre khayálát, mahsúsát aur hawás ko
halimí kí sachí Rúh ‘atá kar, táki ham apní sárí táqat se aur samájí
zará‘e iblágh kí wasátat se du‘á,
a‘mál aur Kalám kí risálat bajá
láne ke qabíl ban jáen. Ámín
----
There are many books written on Saint Paul. My favourite one that I
have found really helpful and gives a brief
overview of the letters of Saint Paul is A Pocket Guide to St. Paul by Dr.
Scott Hahn. For more info click here, and to learn more about the apostle St. Paul click here.
No comments:
Post a Comment