Friday, 20 January 2012

22nd Jan 2012, Third Sunday in Ordinary Time B


Sál ke daurán tísrá Itwár 

khilah (Entrance Antiphon):
(Zabúr) Psalm 95:1,6
Khudáwand ke liye ek nayá gít gáo ai sárí zamín Khudáwand ke liye gáo ‘Azmat aur buzurgí us ke huzúr hain qudrat aur jamál us ke maqdis men hain

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Yúnas nabí kí kitáb) Jonah 3:1-5. 10
Ní́nawá ke logon ne apní burí rawish se tauba karli

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr:24:4-9  Jamá‘ati jawáb áyat: 4
(Jamá‘ati jawáb) Ai Khudáwand, apní ráhen mujhe dikhá de

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Qurinthíon Ke Nám) 1 Corinthians7:29-31
Dunyá badaltí játí hai

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: (Marqus) Mark 1:15
Hallelujah Hallelujah 
Khudá kí bádsháhí nazdík hai
Injíl par ímán láo.
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Marqus ke mutábiq) Mark 1:14-20 
Tauba karo aur Injíl par ímán láo.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): (Zabúr) cf. Psalm 33:6
Tum Khudáwand  kí taraf nigáh karo, táki munawwar ho jáo.
Aur tumháre chihron par sharmindagí na áe.
Or
(Yúhanná) John 8:12
Khudáwand farmátá hai ki Main dunyá ká núr hún
jo merí pairawí kartá hai wuh andhere men nahin chaltá
balki zindagí ka núr páegá.

No comments:

Post a Comment