Sál ke daurán Chhabbíswán Itwár (C)
Dákhilah (Entrance Antiphon):
(Dániál) Daniel 3:31, 29, 30, 43, 42
Ai Khudáwand jo kuch tú ham par láyá hai aur ham se
kiyá hai
tú ne wuh ‘ahd o sadáqat se kiyá hai.
Kyúnki ham ne tujh se ru gardání kar ke gunáh kiyá
thá.
Ham ne tere hukmon ko nahín máná thá.
Pas apne nám ká jalál záhir kar,
aur apní intiháí rahmat ke mutábiq ham se sulúk kar.
Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai
mihrbán Khudá
Tú
ziyáda tar rahm kar ke aur tars khá kar apní qudrat-i Mutlaq záhir kartá
hai
Ham
par apne kí kasrat názil farmá
Táki
ham aise chalen
Ki
tere wa‘de hamáre liye púre ho saken
Aur
tú hamen apní ásmání barkaton men hissadár baná
sake
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín
Readings
Pahlí Tiláwat:
(‘Ámús kí kitáb) Amos 6:1, 4-7
Jo apní masnadon par daráz hote hain, buland áwáz se gáte aur daráz hote hain
jaláwatan kiye jáenge
Pák
kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Zabúr: Psalm 145:7-10
Jamá‘ati jawáb áyat: 2
Jamá‘ati jawáb: Ai merí
ján Khudáwand kí hamd kar
Yá
Hallelujah
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Timutáús ke nám) 1 Timothy
6:11-16
Jin báton kí tujhe tákíd kí gayí hai, un par Khudáwand
ke záhir hone tak ‘amal kar.
Pák
kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Gospel Acclamation
Hallelujah: (Yúhanná) John 10:27
Hallelujah Hallelujah
Khudá farmátá hai, merí bheṛen merí áwáz suntí hain,
Main unhen jántá hún
Aur wuh mere píchhe píchhe átí hain
Hallelujah
Yá
Hallelujah: (2 Qurintíon) 2 Corinthians
8:9
Hallelujah, Hallelujah
Yisú‘ Masíh daulatmand ho kar
Tumhárí khátir g̣haríb ban gayá
Táki tum us kí g̣haríbí ke sabab se daulatmand ban jáo
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke
16:19-31
Tú apní zindagí
men achchhí chízen hásil kar chuká, aur usí tarah La‘zar burí
chízen, ab wuh tasallí pátá hai, aur tú taṛaptá hai.
Ek din Yisú‘ ne Farísíon
se kahá: Ek daulatmand ádmí thá, jo argawání aur mihín kapṛe pahintá, aur
har roz ‘aish-o-‘ishrat kartá thá : Aur
La‘zar námí násúron se bhará húá ek bihkárí, us ke darwáze par
paṛá húá thá, aur use árzú thi, ki main un ṭukṛon se peṭ
bharon, jo is daulatmand kí mez se girte hain : balki kutte
bhí á kar us ke násúr cháṭṭe the. Aur
aisá húá, ki wuh bihkárí mar gayá, aur firishton ne use le já kar
Ibráhím kí god men pahunchá diyá, aur wuh daulatmand bhí
mará, aur dafnáyá gayá, aur jab us ne ‘álam i asfal ke ‘azáb men
mubtalá ho kar apní ánkhen uṭháín to dúr se Ibráhím ko
dekhá, aur La‘zar ko us kí god men, aur us ne pukár kar kahá, ki Ai báp
Ibráhím, mujh par rahm kar, aur La‘zar ko bhej, táki wuh apní unglí ká sirá
pání se bhigo kar, merí zubán ṭhanḍhí kare ; kyúnki main is ág
men taṛaptá hún. Par Ibráhím ne kahá, beṭá, yád kar, ki tú
apní zindagí men achchhí chízen hásil kar chuká, aur usí tarah La‘zar
burí chízen: pas ab wuh tasallí pátá hai, par tú taṛaptá hai. Aur in
sab báton ke ‘iláwah, hamáre tumháre darmiyán ek baṛá gaṛhá há’il
hai: aisá ki jo yahán se tumháre pás jáná cháhen, na já saken;
aur na wahán se yahán á saken. Tab us ne kahá, Pas ai
báp, main terí minnat kartá hún, ki tú ise mere báp ke ghar bhej:
Kyúnki mere pánch bháí hain; wuh unhen ágáh kare, aisá
na ho, ki wuh bhí is jáe ‘azáb men á paṛen. Magar Ibráhím ne
kahá: Un ke pás Taurát-i-Músá aur saháif-i-ambiyá to hain, wuh un kí
sunen. Us ne kahá, Nahín, ai báp Ibráhím! lekin agar koí murdon
men se un ke pás jáe, to wuh tauba karenge. Magar us ne us se
kahá, ki Jab wuh Taurát-i-Músá aur saháif-i-ambiyá kí nahín súnte,
to agar murdon men se koí jí uṭhe, to us kí bhí na mánenge.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai rahím Khudá
Hamen yih taufíq de ki hamárá nazrána terá maqbúl-i
nazar ho
Hamáre liye har tarah kí barkat ká chashma baháe
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) Ps 118:49-50
Ai Khudáwand, us kalám ko yád kar jo tú ne apne bande se
kiyá hai,
aur jis se tú ne ummed daláí hai.
Merí musíbat men yihí mere liye tasallí ká bá‘is hai.
OR
(1 Yúhanná) 1 Jn 3:16
Ham ne is se Khudá
kí muhabbat ko jáná hai
ki us ne
hamáre wáste apní ján de dí
is liye cháhiye ki ham bhí bháiyon
ke wáste ján den.
Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Tú is Pák ‘ibádat ke zarí‘a hamen
Jismání aur rúhání shifá ‘atá kartá hai
Táki ham jalálí watan men Masíh ke ham mírás banen
Ham usí ke dukh uṭhá kar
Usí kí maut ká e‘lán karte hain
Usí ke wasíle se hamárí iltijá qabúl kar
Jo tere sáth hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá
hai. Ámín
---
Podcasts:
For
Sermon by Fr. Robert Barron click here
For
reflection by Dr. Scott Hahn click here
For
commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page
click here
Some
great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite
at The Divine Lamp click here