Sunday, 18 March 2012

4th Sunday of Lent


Rozon ká chauthá Itwár (B)
(Laetare Sunday)

khilah (Entrance Antiphon):
 (Yasa‘iya) cf. Isaiah 66:10-11
Yarúsalem ke sáth khushí karo, aur us ke sáth shádmán ho. Tum sab jo us se muhabbat rakhte ho, musarrat[1] se ma‘múr ho kar naghma saráí karo. Tum sab jo mátam karte ho, aur tasallí pá kar ásúda ho

Readings
Pahlí Tiláwat:  (2Aḳhbár ) 2Chronicles 36:14-16. 19-23
Khudá ká ghazab aur rahm us kí qaum jalá-wátaní aur raháí se záhir hotá hai

Zabúr: 136:1-6 Jamá‘ati jawáb áyat: 6
(Jamá‘ati jawáb): agar main tujhe yád na karún to merí zabán mere tálú se chipaṭ jáe

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Ifisíon ke nám) Ephesians 2:4-10
Tum gunáhon ke sabab se murda the fazl ke wasíle se bacháe gaye ho.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Na‘rah-e Hamd:
(Yúhanná) John 3:16
Khudá ne duniyá ko aisá piyár kiyá ki us ne apná iklautá Beṭá bakhsh diyá, táki jo koí us par ímán láe wuh halák na ho balki hamesha kí zindagí páe.

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq ) John 3:14-21
Khudá ne apná Beṭá duniyá men bhejá táki duniyá us ke wasíle se naját páe.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) cf. Psalm 121:3-4
Bait al muqaddas shahr kí mánind pukhta ittihád se ta‘mír húá hai.
wahan qabíle ya‘ní Khudáwand ke qabíle,
 Khudáwand ke nám ká shukr karne játe hain.


[1] Masarrat: delight, happiness

What is Laetare Sunday?
The fourth, or middle, Sunday of Lent, so called from the first words of the (Entrance Antiphon) Introit at Mass, "Laetare Jerusalem" — "Rejoice, O Jerusalem" "Yarúsalem ke sáth khushí karo". Click here and here for more info.

No comments:

Post a Comment