Catholic Roman Urdu Prayers
Sunday, 27 June 2021
Friday, 20 March 2020
Stations of the Cross (Punjabi Hymn)
Muqaddas sir te rakhyá hai kanḍeyán dá táj
Salíb nún chuk ke jándá ae mahbúb sháfí ghamkhwár
Zálim sapáhiyán Yisú‘ nún súlí chukáí ae
Te hauke bhar dá jánda ae mahbúb sháfí ghamkhwár
Gunáhwán sád̟iyán te Yisú‘ soch dá jándá ae
Ghamzadah mán diyá akhiyá chun atharú wagde nain
Kalejá phat̟ dá jándá ae mahbúb sháfí ghamkhwár
Dukh bauhtá wekh ke Shama‘ún wagár wich phar̟ liyá
Sahárá dendá jánda ae mahbúb sháfí ghamkhwár
Pasínah lahú wekh ke ik nek dil aurat ne
Rúmál os nún dittá hai mahbúb sháfí ghamkhwár
Zálim sapáhiyán dí bedardí wahd dí jándí ae
Te dújí wárí d̟igdá ae mahbúb sháfí ghamkhwár
Os ráh wich rondiyá jándiyá ne bahut kunwáriyán
Tasallí dendá jánda ae mahbúb sháfí ghamkhwár
Zálim sapáhiyán dí bedardí wahd dí jándí ae
Te tesrí wárí d̟igdá ae mahbúb sháfí ghamkhwár
Sapáhiyán ne bedardí nál kapar̟e utáre nain
Te chamar̟á khechiyá jánda ae mahbúb sháfí ghamkhwár
Bedardí nál sapáhiyán ne salíb te d̟eg liyá
Te nál killán de jar̟iyá ae mahbúb sháfí ghamkhwár
Tin gant̟e Yisú‘ súlí te dukhán wich rahiyá
Te sir jhuká ke mardá ae mahbúb sháfí ghamkhwár
Níkodímas te Yusaf ne salíb tún láh liyá
Te mán dí god wich rakhiyá ae mahbúb sháfí ghamkhwár
Afsos te gham nál Yisú‘ nún qabr wich rakh de nain
Te ronde pit̟de jánde nain mahbúb sháfí ghamkhwár
Sunday, 3 February 2019
4th Sunday in Ordinary Time C
سالکے دَوران چوتھا اتوار
Sál ke daurán chauthá Itwár C
سال سوم
Dákhilah (Entrance Antiphon):
(Zabúr) Psalm 105:47
Ai Khudáwand hamáre Khudá ham ko bachá
qaumon men se ham ko faráham kar
táki ham tere pák nám ká shukr ádá karen
aur terí hamd o saná par fakhr karen
Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Khudáwand hamáre Khudá
‘ináyat kar ki ham dil o ján se terí ‘ibádat karen
Aur sab ádamíon se wájib muhabbat rakhen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.
Readings
پہلی تلاوت
Pahlí Tiláwat: (Irmiyá nabí ká sahífa) Jeremiah 1:4-5, 17-19
Main ne tujhe qaumon ká nabí ṭhahráyá hai
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
زبُور
Zabúr: Psalm 70:1-6, 15 17 Jamá‘ati jawáb áyat: 15
(Jamá‘ati jawáb): Merá munh terí naját ká bayán karen
دُوسری تلاوت
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Qurinthíon Ke Nám) 1 Corinthians 12:31-13:31
Tín chízen qáim rahti hain, ímán, ummed aur mahabbat aur in tínon men afzal mahabbat hai.
Pák Kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
ہیلیلُویاہ
Hallelujah: (Yúhanná) John 14:6
Hallelujah Hallelujah
Ráh, aur Haqq, aur Zindagí Main hún;
Mere wasíle ke bag̣hair Báp ke pás koí nahín á saktá
Hallelujah
انجیلِ مُقدس
Injíl I Muqaddas:
Muqaddas Lúqá ke mutábiq (Luke 4:21-30)
Iliyás aur Ilísha kí mánind Yisú‘ sirf Yahúdíon ke liye nahín bhejá gayá
Ek din Yisú‘ ‘ibádat-kháne men logon se kahne lagá, ki áj yih nawishta tumháre kánon men púrá ho kar pahunchá. Aur sab ne us par gawáhí dí, aur shafqat kí un báton par jo us ke munh se nikaltí thín, ta‘ajjub karke kahne lage; kyá yih Yúsuf ká beṭá nahín? Us ne un se kahá; ki tum be-shakk yih masal mujh par kahoge, ai tabíb tú apná iláj kar: jo kuchh ham ne suná hai, ki tú ne Kafarnahúm men kiyá yahán apne watan men bhí kar. Aur us ne kahá; Main tum se sach kahtá hún, ki koí nabí apne watan men maqbúl nahín hotá.
Lekin main tum se sach kahtá hún ki jab Iliyás ke dinon men tín baras chha mahíne tak ásmán band rahá, yahán tak tamám mulk men sakht kál paṛá, to bahut sí bewáen Isráíl men thín; magar Iliyás siwáe Saídon ke Zárafat kí ek bewa ‘aurat ke, un men kisí ke pás bhejá na gayá. Aur Ilísha nabí ke waqt, Isráíl men bahut se koṛhí the, lekin un men se koí pák sáf na kiyá gayá, siwáe Na‘mán Súriyání ke. Aur jitne ‘ibádat-kháne men the, sab un báton ko sunte hí gusse se bhar gaye; aur uṭh kar use shahr se báhar nikálá, aur use us paháṛ kí choṭí par le gaye, jis par un ká shahr baná húá thá, táki use sir ke bal girá den. Lekin wuh un ke bích men se guzar kar chalá gayá.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
All Readings including Gospel
Homily
Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham apní ‘ibádat guzárí ke nazráne tere altár par láte hain
Tú mihrbání se inhen qabúl farmá
Aur hamárí naját ke muassir zari‘e baná
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): (Zabúr) cf. Psalm 30:17-18
Apne khádim par apná chihra jalwagar farmá
apní shafaqat ke mutábiq mujhe bachá le
Ai Khudáwand mujhe sharminda na hone de kyúnki main ne tujhe pukárá hai.
Or
(Matí) Matthew 5:3-4
Mubárak hain wuh jo Rúh ke garíb hain.
Kyúnki ásmán kí bádsháhí unhí kí hai
Mubárak hain wuh jo halím hain
kyúnki wuh zamín ke wáris honge.
Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham naját ke is tohfah se tázah dam húe hain
Hamárí yih du‘á hai dáimí naját ká yih wasíla
Hamárá sachchá ímán mazbút kartá rahe
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
...
Friday, 1 February 2019
Du‘á e Rabani (Our Father) اے ہمارے باپ I دعاۓ ربانی
Du‘á e Rabani (Our Father)
Ai hamáre Báp
Tú jo ásmán par hai
Terá nám pák máná jáe
Terí bádsháhí áe
Terí marzí jaise ásmán
par púrí hotí hai,
Zamín par bhí ho.
Hamáre rozinah kí roṭí
áj hamen de
Aur jís tarah ham apne
qarzdáron ko bakhste hain
Tú hamáre qarz hamen
bakhsh
Aur hamen ázmáish
men na paṛne de
balki hamen buráí se bachá
Ámin.
ائے ہمارے باپ
تو جو آسمان پر ہے،
تیرا نام پاک مانا جائے، ت
یری بادشاہی آئے،
تیری مرضی، جَیسی آسمان پر پُوری
ہوتی ہَے،
زمین پر بھی ہو،
ہمارے روزینہ کی روٹی، آج ہمیں دے،
اور جِس طرح ہم، اَپنے قرضداروں کو
بخشتے ہیں،
تُو ہمارے قرض ہمیں بخش،
اَور ہمیں آزمائش میں نہ پڑنے دے،
بلکہ ہمیں بُرائی سے بچا۔
آمین
Sunday, 20 January 2019
2nd Sunday in Ordinary Time C
Sál ke daurán dúsrá
Itwár C
سا ل کے دَوران دُوسرا اتوار
سالِ سوم
Dákhilah (Entrance Antiphon):
(Zabúr) Psalm 65:4
Ai Khudá tamám dunyá tujhe sijda kare.
Ai Haqq Ta‘álá, wuh tere nám ká gít gáe.
Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Qádir I Mutliq aur azlí Khudá
Tú ásmán aur zamín kí har shai par hakúmat kartá haiMihrbání se apní ummat kí iltijáon ko sun
Aur hamáre in dinon men hamen apní salámatí ‘atá kar
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.
Readings
پہلی تلاوت
Pahlí Tiláwat:
Isha‘yá nabí ká sahífa (Isaiah 62:1-5)
Dulhá apní dulhan se khush hotá hai
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
زبُور
Zabúr: Psalm 95:1-3,
7-10
Jamá‘ati jawáb áyat: 3
(Jamá‘ati jawáb): Sab ummaton men us ke ‘ajáibát ká
bayán karo
دُوسری تلاوت
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl
Ká Pahlá Khatt Qurinthíon Ke Nám) 1Corinthians
12:4-11
Wuhí ek Rúh apní razá ke
mutábiq tarah tarah kí ni‘maten logon ko bánṭ kar detá hai.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
ہیلیلُویاہ
Hallelujah Hallelujah
Ai Khudáwand terí báten rúh hain aur
zindagí bhí hainZindagí kí báten to tere hí pás hain.
Hallelujah
انجیلِ مُقدس
Injíl I Muqaddas:
Muqaddas Yúhanná ke mutábiq (John 2:1-11)
Nishánon ká yih shurú‘ Yisú‘ ne Qáná-e Jalíl men
kiyá
Un dinon men Qáná-e Jalíl men biyáh húá, aur Yisú‘
kí mán wahán thí. Aur Yisú‘ aur us ke shágird bhí us biyáh men
buláe gae the. Aur jab mai ghaṭ gaí, to Yisú‘ kí mán ne use kahá, ki un
ke pás mai nahín rahí. Aur Yisú‘ ne use kahá, Ai khátún, mujhe
aur tujhe kyá? Merá waqt hanoz nahín áyá. Us kí mán ne khádimon
se kahá, jo kuchh yih tum se kahe wuh karo. Aur wahán Yahúdíon kí
rasme tahárat ke liye patthar ke chha maṭke dhare the, jin men do do yá
tín tín bat samáte the. Yisú‘ ne un se kahá, ki maṭkon men
pání bharo. So unhon ne unhen lab á lab bhar diyá. Aur us ne un
se kahá, ki ab nikálo, aur mir i ziyáfat ke pás le jáo. Aur wuh le gae. Jab mir
i ziyáfat ne wuh pání chakhá jo mai ban gayá thá aur na jántá thá ki yih kahán
se áí hai (magar khadim, jinhon ne wuh pání nikálá thá, jánte
the) to mir i ziyáfat ne dúlhá ko buláyá, aur use kahá, ki har shakhs
pahle achchhí mai kharch kartá hai, aur ma‘múlí us waqt jab ki sab khúb
pí chuken, magar tú ne achchhí mai ab tak rakh chhoṛí hai.
Nishánon ká yih shurú‘ Yisú‘
ne Qáná-e Jalíl men kiyá, aur us ne apná jalál dikháyá, aur us ke
shágird us par ímán láe. Is ke ba‘d wuh us kí mán aur bháí aur us ke
shágird Kafarnahúm ko gaye, magar wahán bahut din na rahe.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
All Readings including Gospel
Homily
Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham jánte hain ki jitní dafah hamTere Beṭe kí salíbí qurbání kí yád táza karte hain
Utní dafah hamárí naját ká kám púrá hotá hai
Pas ‘ináyat kar ki láiq taur par yih pák ‘ibádat adá karen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): (Zabúr) cf. Psalm 22:5
Tú ne mere áge dastarkhwán bichháyá hai aur wuh labrez piyála bhí
rakkhá hai jis se ham khush hote hain.
Or
(1 Yúhanná) 1 John 4:16
Jo mahabbat Khudá ham se rakhtá hai ham ne use mahsús kiyá aur
sach ján liyá
Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Apní mahabbat kí rúh ko ham men unḍel deAur jinhen tú ne
Ek hí ásmání roṭí se ser kiyá hai
Inhen apní mahabbat men yak-dil baná de
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
...
Resources:
Dr. Brant Pitre: The Wedding at Cana and Jesus' Response to Mary here
Sunday, 6 January 2019
The Epiphany Of the Lord
مسیح کے ظہُور کی عید
The Epiphany is the manifestation of Jesus as Messiah of Israel,
Son of God and Saviour of the world.
"Gold, as paid to a mighty King;
frankincense, as offered to God; myrrh, as to one who is to die for the sins of
all." Augustine, Bishop of Hippo, A.D. 396 Catena Aurea: Volume 1: St. Matthew
--------------
Solemnity
6th January or the Sunday between 2 January
and 8 January
Masíh ke Zuhúr kí ‘Íd
Dákhilah (Entrance
Antiphon):
Dekho, dono jahánon
ká hukamrán Khudáwand átá hai, aur Badsháhí qudrat aur
hukúmat usí ke háth men hogí
اُٹھ۔ مُنّور
ہو، کیونکہ تیرا نُور آپُہنچا ۔
اَور خُداوند کی تجلّی تُجھ پر طُلُوع ہَے۔
کیونکہ دیکھ
تارِیکی زمین پر چھائی ہُوئی ہَے
اَور قوموں پر اَندھیرا ہَے۔
لیکن تُجھ
پرخْداوند طُلُوع ہَے۔
اَور اُس کی تجلّی تُجھ پر ظاہر ہَے۔
اَور قومیں
تیرے نُور کی طرف۔
اَور سلاطین
تیری روشنی کی چمک کی طرف چلیں گے۔
اپنی آنکھیں
اُٹھا کر نظر دوڑا۔
وہ سب کے سب جمع ہُوئے اَور تیرے پاس آئے۔
تیرے بیٹے
دُور سے آ رہے ہَیں۔
ا َور تیری
بیٹیاں گود میں اُٹھائی ہُوئی ہَیں۔
تب تُو دیکھےگی اَور خُوشی سے چمک اُٹھے گی۔
اَور
تیرا دِل دھڑکے گا اَور کُشا دہ ہوگا۔
کیونکہ سُمندر
کی ثروت تیری طرف پِھرےگی
اَور قوموں کی
دولت تیری طرف آئے گی۔
اُونٹوں
کی کثرت تُجھ پر پھیلے گی۔
یعنی مِدیاؔن
اَورعیؔفہ کی سانڈنیاں۔
وہ سب سؔبا سے
آ کر سونا اَور لوبان لا رہے ہَیں۔
وہ خُداوند کی حمد کے مُبشّر ہَیں۔
Reading
Pahlí Tiláwat:
Yasa‘iya nabí
ka sahífa: 60:1-6 (Isaiah 60:1-6)
Khudáwand kí tajallí tujh par tulú‘ huí hai
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Zabúr: 71:1-2, 7-8. 10-13. Jamá‘ati jawáb áyat cf.v. 11( Psalm 71)
(Jamá‘ati jawáb) ; Ai Khudáwand. Sab qaumen
tujhe sijda karengí
Dusrí Tiláwat:
Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Ifsíon
Ke Nám 3:2-3. 5-6 (Ephesians 3:2-3. 5-6)
Ab yih kashf kiyá gayá hai ki gair qaumen
bhí ham mírás hain
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá
kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Hallelujah:
Matí 2:2 (Matthew 2:2)
Hallelujah Hallelujah Ham ne us ká sitára mashriq men dekhá hai aur ham Khudáwand
ko sijda karne áe hain Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
Ham ne us ká
sitára mashriq men dekhá hai
aur ham bádsháh ko sijda karne áe hain
Injíl I
Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Homily
Pák Sharákat kí
áyat (Communion Antiphon): (cf.
Matthew 2:2)
Ham ne mashriq
men Khudáwand ká sitára
dekhá aur use sijda karne áe hain.
------------
You can find out more on the feast of Epiphany here and also see Catechism of the Catholic Church for the mysteries of Jesus' infancy, paragraphs 527 to 530
Subscribe to:
Posts (Atom)