Sál ke daurán dúsrá
Itwár C
سا ل کے دَوران دُوسرا اتوار
سالِ سوم
Dákhilah (Entrance Antiphon):
(Zabúr) Psalm 65:4
Ai Khudá tamám dunyá tujhe sijda kare.
Ai Haqq Ta‘álá, wuh tere nám ká gít gáe.
Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Qádir I Mutliq aur azlí Khudá
Tú ásmán aur zamín kí har shai par hakúmat kartá haiMihrbání se apní ummat kí iltijáon ko sun
Aur hamáre in dinon men hamen apní salámatí ‘atá kar
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.
Readings
پہلی تلاوت
Pahlí Tiláwat:
Isha‘yá nabí ká sahífa (Isaiah 62:1-5)
Dulhá apní dulhan se khush hotá hai
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
زبُور
Zabúr: Psalm 95:1-3,
7-10
Jamá‘ati jawáb áyat: 3
(Jamá‘ati jawáb): Sab ummaton men us ke ‘ajáibát ká
bayán karo
دُوسری تلاوت
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl
Ká Pahlá Khatt Qurinthíon Ke Nám) 1Corinthians
12:4-11
Wuhí ek Rúh apní razá ke
mutábiq tarah tarah kí ni‘maten logon ko bánṭ kar detá hai.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
ہیلیلُویاہ
Hallelujah Hallelujah
Ai Khudáwand terí báten rúh hain aur
zindagí bhí hainZindagí kí báten to tere hí pás hain.
Hallelujah
انجیلِ مُقدس
Injíl I Muqaddas:
Muqaddas Yúhanná ke mutábiq (John 2:1-11)
Nishánon ká yih shurú‘ Yisú‘ ne Qáná-e Jalíl men
kiyá
Un dinon men Qáná-e Jalíl men biyáh húá, aur Yisú‘
kí mán wahán thí. Aur Yisú‘ aur us ke shágird bhí us biyáh men
buláe gae the. Aur jab mai ghaṭ gaí, to Yisú‘ kí mán ne use kahá, ki un
ke pás mai nahín rahí. Aur Yisú‘ ne use kahá, Ai khátún, mujhe
aur tujhe kyá? Merá waqt hanoz nahín áyá. Us kí mán ne khádimon
se kahá, jo kuchh yih tum se kahe wuh karo. Aur wahán Yahúdíon kí
rasme tahárat ke liye patthar ke chha maṭke dhare the, jin men do do yá
tín tín bat samáte the. Yisú‘ ne un se kahá, ki maṭkon men
pání bharo. So unhon ne unhen lab á lab bhar diyá. Aur us ne un
se kahá, ki ab nikálo, aur mir i ziyáfat ke pás le jáo. Aur wuh le gae. Jab mir
i ziyáfat ne wuh pání chakhá jo mai ban gayá thá aur na jántá thá ki yih kahán
se áí hai (magar khadim, jinhon ne wuh pání nikálá thá, jánte
the) to mir i ziyáfat ne dúlhá ko buláyá, aur use kahá, ki har shakhs
pahle achchhí mai kharch kartá hai, aur ma‘múlí us waqt jab ki sab khúb
pí chuken, magar tú ne achchhí mai ab tak rakh chhoṛí hai.
Nishánon ká yih shurú‘ Yisú‘
ne Qáná-e Jalíl men kiyá, aur us ne apná jalál dikháyá, aur us ke
shágird us par ímán láe. Is ke ba‘d wuh us kí mán aur bháí aur us ke
shágird Kafarnahúm ko gaye, magar wahán bahut din na rahe.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
All Readings including Gospel
Homily
Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham jánte hain ki jitní dafah hamTere Beṭe kí salíbí qurbání kí yád táza karte hain
Utní dafah hamárí naját ká kám púrá hotá hai
Pas ‘ináyat kar ki láiq taur par yih pák ‘ibádat adá karen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): (Zabúr) cf. Psalm 22:5
Tú ne mere áge dastarkhwán bichháyá hai aur wuh labrez piyála bhí
rakkhá hai jis se ham khush hote hain.
Or
(1 Yúhanná) 1 John 4:16
Jo mahabbat Khudá ham se rakhtá hai ham ne use mahsús kiyá aur
sach ján liyá
Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Apní mahabbat kí rúh ko ham men unḍel deAur jinhen tú ne
Ek hí ásmání roṭí se ser kiyá hai
Inhen apní mahabbat men yak-dil baná de
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
...
Resources:
Dr. Brant Pitre: The Wedding at Cana and Jesus' Response to Mary here
No comments:
Post a Comment