Sál ke daurán chaudhwán Itwár (C)
Dákhilah (Entrance
Antiphon):
(Zabúr) Cf.
Ps 47: 10-11
Ai Khudá terí haikal ke andar terí shafaqat ko yád karte
hain. Ai Khudá tere nám kí mánind terí ta‘rif bhí zamín
kí intihá tak pahunchtí hai.
Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Piyáre Khudá
Tú ne girí húí khalqat ko
Apne Beṭe kí farotaní ke zarí‘e phir uṭháyá
Apne ímándáron ko yih pák shádmání ‘atá kar
Ki wuh gunáh kí g̣hulámí se raháí pá kar
Hamesha kí zindagí ká lutf uṭháen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se, jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai.
Ámín.
Readings
Pahlí Tiláwat:
(Isha‘yá nabí ká sahífa) Isaiah 66:10-14
Dekho! Main salámatí ko daryá kí mánind us kí taraf
rawán karúngá
Khudáwand
farmátá hai
Yarúshalem ke sáth khushí karo,
aur us ke sáth shádmán ho tum sab jo us se muhabbat rakhte ho.
Us ke sáth baṛí shádmání karo,
tum sab jo us par nauhah karte ho.
Táki tum chúso,
aur us ke tasallí-dih pistánon se ser ho,
aur dúdh doho,
aur us kí sarwat ke pistánon se hazz uṭháo,
kyúnki Khudáwand yún farmátá hai dekh,
main salámatí ko daryá kí mánind,
aur qaumon kí shaukat ko labrez nadí kí tarah
us kí taraf rawán karúngá.
Tab tum chúsoge,
aur god men uṭháe jáoge,
aur ghuṭnon par tum se láḍ kiyá jáegá.
Us kí tarah jis kí mán use tasallí detí hai.
waise hí main tumhen tasallí dúngá,
aur Yarúshalem men tum tasallí páoge,
aur tum dekhoge, aur tumhárá dil khush hogá,
aur tumhárí haḍḍiyán
ghás kí mánind phúṭengí,
aur Khudáwand ká háth us ke bandon par záhir
hogá,
aur apne dushmanon par g̣hazab-nák hogá.
Pák
kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Zabúr: Psalm 65:1-7.
16. 20 Jamá‘ati jawáb áyat: 1
Jamá‘ati jawáb: Ai kul mamálik Khudá ke liye Khushí
ká na‘ra máro
Ai kul mamálik Khudá ke
liye Khushí ká na‘ra máro
Us ke nám ke jalál ká gít gáo
Us ke liye ek shándár tarána-e
hamd pesh karo
Khudá se kaho ki tere kám kyá hí muhíb hain
Ai kul mamálik Khudá ke
liye Khushí ká na‘ra máro
Tamám zamín tujhe sijda kare, aur terá gít gáe
Tere nám ká gít gáe [Siláh]
Á kar Khudá ke kámon ko dekho
Baní nau‘ insán ke darmiyán us ne muhíb kám kiye hain
Ai kul mamálik Khudá
ke liye Khushí ká na‘ra máro
Us ne samundar ko khushkí baná diyá hai
Unhon ne daryá ko paidal ‘ubúr kiyá
Is liye áo ham us men khushí manáen
Wuh apní qudrat se abad tak hukmrán hai
Ai kul mamálik Khudá
ke liye Khushí ká na‘ra máro
Tum sab jo Khudá se ḍarte ho á kar suno
Main tumhen batáúngá ki us ne mere liye
kyá kyá kiyá hai!
Khudá mubárak
ho, jis ne na to merí du‘á ko radd kiyá
Aur na apní shafqat hí ko mujh se báz rakkhá
Ai kul mamálik Khudá
ke liye Khushí ká na‘ra máro
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Galátíon ke nám) Gal 6:14-18
Mere badan par Yisú‘ ke nishán lage húe hain
Ai bháiyo! Khudá na kare, ki main kisí aur chíz
par fakhr karún siwá hamáre Khudáwand Yisú‘ Masíh
kí salíb ke, jis se duniyá merí nisbat maslúb húi, aur main duniyá
kí nisbat. Kyúnki na khatna kuchh chíz hai na námakhtúní,
magar makhlúq-i-nau honá, aur jitne is qá‘ide par chalen, unhen
aur Khudá ke Isráíl ko salámatí aur rahm hásil ho. Áge ko koí
mujhe taklíf na de, kyúnki mere badan par Yisú‘ ke nishán lage húe
hain.
Ai bháiyo! Hamáre Khudáwand
Yisú‘ Masíh ká fazl tumhárí rúh ke sáth rahe. Ámín.
Pák
kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Gospel Acclamation
Hallelujah: (Yúhanná) Jn 15:15
Hallelujah Hallelujah
Khudáwand farmátá hai main tumhen dost
kahtá hún
kyúnki jo báten main ne
apne Báp se suní hain
wuh sab tumhen batá dí
hain
Hallelujah
Yá
Hallelujah: (Kulussíon) Col 3:15.16
Hallelujah Hallelujah
Masíh kí salámatí
tumháre dilon par hukumat
kare,
jis ke liye tum bhí ek badan ho kar
buláe gaye ho.
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq)
Luke 10:1-12, 17-20
Tumhárá salám us par ṭhahregá
Us waqt Khudáwand ne
bahattar aur muqarrar kiye, aur unhen do do kar ke har shahr aur gánw
ko apne áge bhejá jahán wuh khúd jáne ko thá. Aur wuh un se
kahtá thá, ki Fasl to bahut hai, par mazdúr thoṛe hain. Is liye Fasl
ke málik kí minnat karo, ki wuh apní Fasl káṭne ke liye mazdúr bhej de. Jáo;
dekho, main tumhen jaise barron ko bheṛiyon ke
darmiyan bhejtá hún. Na baṭwá le jáo, na thailí, na jútí; aur
ráh men kisí ko salám na karo. Aur jis kisí ghar men dákhil
ho, pahle kaho, ki is ghar ko salám. Agar salám ká farzand wahán ho,
to tumhárá salám us par ṭhahregá, warna tum par lauṭ áegá. Aur usí
ghar men raho, aur jo kuchh un ke pás ho kháo aur piyo; kyúnki
mazdúr apní mazdúrí ká haqqdár hai. Ghar ghar na phiro. Aur jis kisí
shahr men dákhil ho, aur jahán tumhen qubúl
kiyá jáe, to jo kuchh tumháre sámne rakkhá jáe, kháo; aur wahán
ke bímáron ko shifá do, aur un se kaho, ki Khudá kí
bádsháhí tumháre nazdík á pahunchí hai. Lekin jis kisí shahr men
tum dákhil ho, jahán tumhen qubúl na kiyá jáe, wahán
ke chaukon par já kar kaho ki, ham is gard ko bhí, jo tumháre shahr se hamáre pánwon
par paṛí hai, tum par jháṛ dete hain, magar yih jáno, ki Khudá
kí bádsháhí nazdík á pahunchí hai. Main tum se kahtá hún,
ki Sadúm ká hál us shahr kí nisbat ziyáda qábil i bardásht hogá.
Aur wuh bahattar khush ho kar
wápas áe, aur kahne lage: Ai Khudáwand tere nám se badrúhen
bhí hamáre tábi‘ hain. Tab us ne un se kahá: Main ne shaitán
ko bijlí kí ḿanid ásmán se girte húe dekhá. Dekho, main ne tumhen
sánpon aur bichchhúon ke raundne, aur dushman kí
sárí qudrat par ikhtiyár diyá
hai; aur tumhen kisí chíz se zarar na pahunchegá. Tá
ham is se khush na ho, ki rúhen tumháre tábi‘ hain;
balki is se khush ho, ki tumháre nám ásmán par likhe húe hain.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Shorter: (Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 10:1-9
Tumhárá salám us par ṭhahregá
Us waqt Khudáwand ne
bahattar aur muqarrar kiye, aur unhen do do kar ke har shahr aur gánw
ko apne áge bhejá jahán wuh khúd jáne ko thá. Aur wuh un se
kahtá thá, ki Fasl to bahut hai, par mazdúr thoṛe hain. Is liye Fasl
ke málik kí minnat karo, ki wuh apní Fasl káṭne ke liye mazdúr bhej de.
Jáo; dekho, main tumhen jaise barron ko bheṛiyon
ke darmiyan bhejtá hún. Na baṭwá le jáo, na thailí, na jútí; aur
ráh men kisí ko salám na karo. Aur jis kisí ghar men dákhil
ho, pahle kaho, ki is ghar ko salám. Agar salám ká farzand wahán ho,
to tumhárá salám us par ṭhahregá, warna tum par lauṭ áegá. Aur usí
ghar men raho, aur jo kuchh un ke pás ho kháo aur piyo; kyúnki
mazdúr apní mazdúrí ká haqqdár hai. Ghar ghar na phiro. Aur jis kisí
shahr men dákhil ho, aur jahán tumhen qubúl
kiyá jáe, to jo kuchh tumháre sámne rakkhá jáe, kháo; aur wahán
ke bímáron ko shifá do, aur un se kaho, ki Khudá kí
bádsháhí tumháre nazdík á pahunchí hai.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Yih nazrána tere pák nám par pesh kiyá já rahá hai
‘atá kar ki yih hamen pákízagí diláe
Aur ham is ke asar se
Rúhání zindagí par ‘amal karne kí taraf
Roz bar roz ziyáda máil hote jáen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Pák Sharákat kí
áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) Ps 33:
9
Chakho aur dekho Khudáwand kaisá bhalá hai, mubárak hai
wuh ádmí jo us kí panáh letá hai.
Or
(Matí) Mt 11: 28
Khudá farmátá
hai ki, ai sab thake mándo, aur bojh se dabe húe mere pás áo, main
tumhen árám dúngá.
Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
‘ináyat kar ki ham itní baṛí ni‘maton se ásúda ho kar
Terí naját dene wálí bakhshishen páen
Aur terí hamd karte rahen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
…
Podcast:
For
Sermon by Fr. Robert Barron click here
For
reflection by Dr. Scott Hahn click here
Some
great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite
at The Divine Lamp click here
No comments:
Post a Comment