Sál ke daurán pandarahwán Itwár (C)
Dákhilah (Entrance
Antiphon):
(Zabúr) Cf.
Ps 16:15
Main sadáqat men terá dídár hásil karúngá
aur jágte húe tere hazúr ser húngá.
Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Mihrbán Khudá
Tú gum-ráhon ko apní sacháí ká núr dikhátá hai
Táki wuh phir sahíh ráste par á saken
Un sab ko jo Masíh ká nám lete hain
‘atá kar ki
Us mubárak nám ke khiláf báten tark kar ke
Muwáfiq báton ko ‘amal men láen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai.
Ámín.
Readings
Pahlí Tiláwat:
(Tasniyah Shara‘ kí kitáb) Deuteronomy 30:10-14
Kalma tere bahut nazdík hai, táki tú us par ‘amal kare
Pák
kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Zabúr: Psalm 68:
14,17,30-31,33-34,36-37 Jamá‘ati
jawáb áyat: Cf. 33
Jamá‘ati jawáb: Ai g̣haríbo, Khudáwand ko talab karo,
aur tumháre dil táza ho jáenge.
Yá
Zabúr: Psalm 18:8-11 Jamá‘ati
jawáb áyat: 9
Jamá‘ati jawáb: Khudáwand ke qawá‘id dil ko masrúr karte
hain
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus
Rasúl Ká Khatt Kulussíon ke nám) Colossians 1:15-20
Sab
chízen Masíh ke wasíle, aur usí le liye khalq kí gayín
Pák
kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Gospel Acclamation
Hallelujah:
(Yúhanná) John 10:27
Hallelujah Hallelujah
Khudá farmátá hai, merí bheŕen merí áwáz suntí hain,
Main unhen jántá hún
Aur wuh mere píchhe píchhe átí hain
Hallelujah
Yá
Hallelujah: Cf. (Yúhanná) John 6:63,68
Hallelujah Hallelujah
Ai Khudáwand terí báten rúh
hain
Aur zindagí bhí hain:
hamesha kí zindagí kí báten to
tere hí pás hain.
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq)
Luke 10:25-37
Merá hamsáyá kaun hai.
Ek din, ek ‘álim -i- fiqah uṭhá
aur yih kah kar us kí ázmáish kí, ki ai ustád main kyá karún,
ki hamesha kí zindagí ká wáris banún? Us ne us se kahá, ki
Sharí‘at men kyá likhá hai? Tú kis tarah paṛhtá hai? Us ne jawáb men kahá: Tú Khudáwand
apne Khudá ko apne sáre dil se, aur apní sárí ján se, aur apní
sárí táqat se aur apní sári ‘aql se, aur apne hamsáe ko apní mánind
piyár kar. Us ne us se kahá: Tú ne ṭhík jawáb diyá; yihí kar, to tú
jíegá. Magar us ne yih cháh kar, ki apne áp ko rástbáz ṭhahráe Yisú‘
se kahá, ki merá hamsáyah kaun hai?
Is par Yisú‘ ne kahá, ki ek shakhs
Yarúshalem se Yarího ko já rahá thá, ki ḍákúon men já
paṛá, jinhon ne use lúṭ kar zakhmí kiyá, aur adhmúá
chhoṛ kar chale gaye. Ittifáqan ek káhin us ráh se guzrá, aur use dekhá,
aur katrá kar chalá gayá. Usí tarah ek Lewí ne bhí usí jagah á kar use
dekhá, aur katrá kar chalá gayá. Phir ek Sámarí musáfir safar karte
karte wahán á niklá, aur use dekh kar tars kháyá, aur pás já kar us ke zakhmon ko
tel aur mai lagá kar bándhá, aur apne jánwar par baithá kar saráe
men le gayá, aur us kí khabargírí kí. Aur dúsre din do
dínár nikál kar bhaṭiyáre ko diye aur kahá, ki is kí khabargírí
kar, aur jo kuchh is se ziyáda kharch hogá, main phir á kar
tujhe adá karúngá. Ab in tínon men se us ká jo
ḍákúon men já paṛá thá, tú kise hamsáyah samajhtá hai?
Us ne kahá: use jis ne us par rahm kiyá. Tab Yisú‘ ne us se kahá: Já tú
bhí aisá hí kar.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Apní iltijá karne wálí kalísiyá ke nazránon par nazar
kar
Bakhsh de ki muminín in men sharík ho kar
Pákízagí men taraqqí páen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Pák Sharákat kí
áyat (Communion Antiphon):
cf: (Zabur) Psalm: 83:4-5)
Chiṛiyá ko bhí ṭhikána miltá hai
aur abábíl ko ghonslá jahán apne bachchon
ko rakkhe
yani tere mazbahon ke pás ai Rabb u’l afwáj, ai mere
bádsháh aur ai mere Khudá
mubárak hain wuh jo tere ghar men rahte hain
wuh to hamesha terí sitáish karte hain.
Or
(Yúhanná ) John 6: 57
Khudáwand
farmátá hai ki jo merá gosht khátá aur merá khún pítá hai,
wuh mujh men qáim rahtá hai, aur main us men.
Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham terí pák bakhshishen hásil kar ke
Tujh se iltimás karte hain
‘atá kar ki jitní bár
Ham yih pák ‘ibádat adá karte hain
Utní bár ham men naját ká asar ziyáda kargar ho
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
…
Podcast:
For
Sermon by Fr. Robert Barron click here
For
reflection by Dr. Scott Hahn click here
For
commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page
click here
Some
great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite
at The Divine Lamp click here
No comments:
Post a Comment