Thursday, 27 June 2013

30th June 2013, Ss Peter and Paul, Apostles

29 June 2013 (USA) 30th June 2013 (UK) Solemnity of Ss. Peter and Paul

Muqaddasín Patras aur Paulus Rasúlon kí ‘Id

مُقدّسِین پطرس اَور  پَولُوس رسوُلوں کی عید


‘Íd kí Eukharistí ‘Ibádat
khilah (Entrance Antiphon):
Yih wuhí hain jinhon ne is fání duniyá men rah kar
apne khún se kalísiyá ki bunyád ḍálí
unhon ne Khudáwand Masíh ká piyála chakhá
aur Khudá ke piyáre bane.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Mihrbán Khudá
Muqaddas Patras aur Paulus ke ‘Íd ke mauqa‘ par
Hamen láiq aur muqaddas khushí manáne detá hai
Apní Kalísiyá ko yih ‘ináyat kar ki jin kí ma‘rifat hamáre mazhab ne ágház páyá hai
Ham har bát men un kí hidáyat ke páband rahen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.

Readings
Pahlí Tiláwat:  
(Rasúlon ke A‘mál) Acts 12:1-11
Ab main ne yaqínan ján liyá ki Khudá ne mujhe herodís ke háth se chhuṛáyá hai.

Unhí dinon men Herodís bádsháh ne Kalísiyá men se ba‘z par háth ḍálátá, ki unhen satáe, aur Yúhanná ke bháí Ya‘qúb ko talwár se már ḍálá.
Aur jab dekhá, ki yih bát Yahúdíon ko pasand áí hai, to Patras ko bhí giriftár kar liyá (Yih ‘Íd-i-Fatír ke din the). Aur pakaṛ kar qaid-khane men ḍalá, aur chár chár sipáhíon ke chár pahron kí nigahbání men rakkhá, is maqsad se ki ‘Íd-i-Fasah ke ba‘d use logon ke sámne pesh kare. Pas qaid-khane men to Patras kí nigahbání ho rahí thi: magar kalísiyá us ke liye bilá waqfah Khudá se du‘á kar rahí thí. Aur jab Herodís use pesh karne ko thá to usí rát Patras do zanjíron se bandhá húá, aur do sipáhíon ke darmiyán so rahá thá, aur pahredár darwáze par qaid-khane kí nigahbání kar rahe the. Aur dekho, Khudáwand ká ek firishta á khaṛá húá, aur us koṭhṛí men raushní chamakí, aur us ne Patras kí paslí par háth már kar use jagáyá aur kahá, ki jald uṭh. Tab zanjíren us ke háthon se gir paṛín. Aur us firishte ne us se kahá, ki kamar bándh, aur apní jútí pahin. Us ne aisá hí kiyá. Phir us ne us se kahá, Apná chog̣hah pahin, aur mere píchhe ho le. Wuh nikal kar us ke píchhe ho liyá; magar na jáná, ki yih jo kuchh firishte kí taraf se ho rahá hai, wuh wáqa‘í hai, balki yih samjhá, ki main royá dekh rahá hún. Tab wuh pahle aur dúsre paihre men se nikal kar, lohe ke us pháṭak tak pahunche, jo shahr kí taraf hai; wuh khúd ba-khúd un ke liye khul gayá, pas wuh nikal kar kúche ke sire tak gaye, aur fauran firishta us ke pás se g̣háib ho gayá. Tab Patras ne hosh men á kar kahá, Ab main yaqínan jántá hún, ki Khudáwand ne apná firishta bhejá hai, aur mujhe Herodís ke hath se chhuṛáyá hai, aur Yahúdí qaum kí sárí ummed khám kar dí hai.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr:
(Zabúr) Psalm 33:2-9 Jamá‘ati jawáb áyat: 8

Jamá‘ati jawáb:
Khudáwand ká farishta un ko chhuṛátá hai, jo us se ḍarte hain.

Main Khudáwand ko har waqt mubárak kahún
Us kí hamd hamesha mere munh men rahegí
Merí ján Khudáwand par fakhr kare
G̣haríb yih sun kar khushí manáen
  Khudáwand ká farishta un ko chhuṛátá hai, jo us se ḍarte hain.
Mere sáth mil kar Khudáwand kí ta‘zím karo
Ham mil kar us ke nám kí tamjíd karen
Main Khudáwand ká tálib húá, aur us ne merí sun lí
Aur us ne mujhe har khauf se chhuṛáyá
  Khudáwand ká farishta un ko chhuṛátá hai, jo us se ḍarte hain.
Tum us kí taraf nigáh karo táki munawwar ho jáo
Aur tumháre chihre par  sharmindagí na áe
Dekh maskín ne duháí dí, to Khudáwand ne sun lí
Aur us kí sab masá’ib se use chhuṛáyá
  Khudáwand ká farishta un ko chhuṛátá hai, jo us se ḍarte hain.
Khudáwand ká farishta un kí cháron taraf
Khaimazan ho kar unhen chhuṛátá hai, jo us se ḍarte hain.
Chakho aur dekho ki Khudáwand kaisá bhalá hai
Mubárak hai wuh ádmí jo us kí panáh letá hai
  Khudáwand ká farishta un ko chhuṛátá hai, jo us se ḍarte hain.

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas  Paulus Rasúl ká dúsrá khatt Timutáús ke nám) 2 Timothy 4:6-8,17-18
Ab sadáqat ká táj mere liye rakkhá húá hai

Ai bháiyo, main ab tapáwan kí tarah baháyá já rahá hún, aur merí rawángí ká waqt á pahunchá hai.  Main achhhí laṛáí laṛ chuká hún, main ne dauṛ ko khatm kar liyá hai, main ne ímán ko sanbhále rakkhá hai. Ab se sadáqat ká táj mere liye rakkhá húá hai, jise Khudáwand jo ‘ádil munsif hai, us din mujhe degá, aur faqat mujhe nahín, balki un sab ko bhí, jo us kí ámad ke árzúmand hain.
  Magar Khudáwand mere sáth rahá, aur us ne mujhe mazbútí bakhshí, ki  merí ma‘rifat munádí púrí ho jáe, aur sab g̣hair qaumen sun len. Aur main sher ke munh se chhuṛáyá gayá. Khudawand mujhe har bure kám se chhuṛáegá, aur apní ásmání bádsháhí ke liye maihfúz rakkhegá, abadu’l ábád tak us kí tamjíd hotí rahe. Ámín.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: (Matí) Mt16:18
Hallelujah, Hallelujah,
Tú Patras hai
aur is chatán par main apní kalísiyá banáún
aur ‘álam i asfal ke darwáze us par ghálib na áenge
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Matí ke mutábiq) Matthew 16:13-19
Tú Patras hai aur main ásmán kí bádsháhí kí kunjiyán tujhe dún

Jab Yisú‘ Qaisariya Filippí ke ‘iláqe men áyá, to us ne apne shágirdon se yih púchhá, ki log Ibn-i-Insán ko kyá kahte hain?  Unhon ne kahá, ki ba‘z Yúhanná Istibág̣hí kahte hain, ba‘z Iliyás, ba‘z Irmiyá yá ambiyá men se koí. Us ne un se kahá, magar tum mujhe kyá kahte hó.  Shama‘ún Patras ne jawáb men kahá, ki tú Al-Masíh hai, zinda Khudá ká Beṭá. To Yisú‘ ne jawáb men us se kahá, mubárak hai tú Shama‘ún BarYoná, Kyunki yih bát jism aur khún ne nahín, balki mere Báp ne jo ásmán par hai, tujh par záhir kí hai, aur main tujh se kahtá hún, ki tú Kefá hai aur main is Kefá par apní Kalísiyá banáúngá, aur ‘álam i asfal ke darwáze is par g̣hálib na áenge, aur  main ásmán kí bádsháhí kí kunjiyán tujhe dúngá, aur jo kuchh tú zamín par bándhegá, wuh ásmán par bándhá rahegá, aur jo kuchh tú zamín par kholegá, wuh ásmán par khulá rahegá.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Bakhsh de ki Muqaddas Rasúlon Patras aur Paulus kí du‘áen
Is qurbání ke sáth hon, jo ham tere nám par chaṛháne ko hain
Táki ham yih Pák ‘ibádat wájib ‘aqídat ke sáth
‘amal men lá saken
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Tamhídí hamd (Preface)
Yih wáqa‘i wájib aur niháyat munásib hai,
Ai Quddús Báp,
Ki ham har waqt aur har jagah terá shukr adá karen
Terí mihrbání se mubárak Patras aur Paulus
DononRasúl hamáre liye masarrat aur fakhr ká bá‘is hain
Ek ímán ke iqrár men hamárá hádí hai aur
Dúsrá ímán ke usúlon ká khol kar bayán karnewálá
Ek ne qadím ummat ke báqí-mándon ko ikaṭṭhá kar ke
Ibtidáí Kalísiyá kí bunyád ḍálí
Dúsrá ghair qaumon ko naját kí da‘wat de de kar
Un men tablíg̣h kartá aur ta‘lím detá rahá
Is tarah donon ne mil kar mukhtalif taríqon se Masíh kí ek hí Kalísiyá ta‘mír kí
Donon barábar is láiq hain ki ham in kí ‘izzat karen
Donon shahíd ho kar jalál ke ek jaise sehre ke haqqdár ṭhaihre
Is liye ham farishton aur tamám muqaddason ke sáth
Lagátár yih kahte húe terí ta‘ríf karte hain
Quddús, Quddús, Quddús, 
Khudáwand, lashkaron ká Khudá;
Ásmán aur zamín tere jalál se ma‘múr hain.
‘Álam i bálá par Hosha‘ná.
Mubárak hai wuh jo Khudáwand ke Nám se átá hai :
‘Álam i bálá par Hosha‘ná.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): (Matí) Cf. Mt 16: 16, 18
Patras ne Yisú‘ se kahá; Tú Masíh zinda Khudá ká Beṭá hai.
Yisú‘ ne jawáb men kahá tú kefá hai
aur main is kefá par apní kalísiyá banáún

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Bakhsh de ki ham in Pák chízon se ásúda ho kar
Terí Kalísiyá men duniyá ke rúbarú aisí zindagí basar karen
 Ki roṭí toṛne kí rasm aur Rasúlon kí ta‘lím ke páband rahne se
Ek dil aur ek ján rahen níz terí mahabbat men har waqt qáim rahen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
----

Resources:
Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here 

The Relationship Between Peter and Paul by Steve Ray, Catholic Answers Live Podcast click here

Was St. Peter first pope? Was he the rock? And what was his relationship with St. Paul? Answers to these questions and much more check out EWTN Audio Library Pope Fiction by Patrick Madrid here

For Prayer in honour of St. Paul in Roman Urdu Click here 

No comments:

Post a Comment