Sál ke daurán gyárahwán Itwár (C)
Dákhilah (Entrance Antiphon):
(Zabúr) Cf.
Psalm 26: 7, 9
Ai Khudáwand merí wuh áwáz sun jis se main tujhe
pukártá hún; Tú merá madadgár hai.
Ai mere khalásí denewále Khudá mujhe tark na kar.
Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Qádir Khudá
Tú in logon ke liye táqat ká bá‘is hai
Jo tujh par tawakkul karte hain
Apne karam se hamárí iltijáon ko qabúl kar
Ham apní fání zát kí kamzorí ke bá‘is
Tere bag̣hair khuchh nahín kar sakte
Pas tú apne fazl se har waqt hamárí madad kar
Táki ham tere hukmon par ‘amal karne men
Iráde aur ‘amal se tere maqbúl-i nazar ṭhahren
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai.
Ámín.
Readings
Pahlí Tiláwat: (Samúel
nabí kí dúsrí kitáb) 2 Samuel 12:7-10.13
Khudáwand ne terá
gunáh mu‘áf kiyá hai, tú nahín maregá
Pák
kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Zabúr: Psalm 31:1-2, 5. 7-11 Jamá‘ati jawáb áyat: 5
Jamá‘ati jawáb: Ai Khudáwand merí khatá kí badí
bakhsh de.
Dusrí Tiláwat: (Muqaddas Paulus
Rasúl Ká Khatt Galátíon ke nám) Galatians 2:16.19-21
Ab main zinda na rahá, balki Masíh mujh men zinda
hai.
(Gospel Acclamation):
Hallelujah: (Yúhanná) John
14:6
Hallelujah Hallelujah
Khudáwand farmátá hai Ráh, aur Haqq,
aur Zindagí main hún
Mere
wasíle ke bag̣hair Báp ke pás koí nahín á saktá.
Hallelujah
Yá
Hallelujah: (1 Yúhanná) 1John
4:10
Hallelujah Hallelujah
Khudá ne ham se muhabbat rakkhí, aur apne Beṭe ko bhejá
Táki hamáre gunáhon ká kaffárah ho
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke
7:36-8:3
Is ke gunáh jo bahut hain mu‘áf ho gaye, kyúnki is
ne bhaut piyár kiyá hai.
Ek din
Farísíon men se kisí ne use da‘wat dí, ki mere hán
kháná khá, aur wuh us Farísí ke ghar já kar kháná khane baiṭhá. Aur
dekho, us shahr men ek gunahgár ‘aurat thí. Jo yih ma‘lúm kar ke, ki
wuh us Farísí ke ghar men kháná khane baiṭhá hai, sang-i-marmar
ke ‘itrdán men ‘itr láí, aur us ke pánwon ke pás
rotí húí píchhe khaṛí ho kar ánsúon se us ke pánw
bhigone lagí, aur apne sir ke bálon se ponchh kar us ke pánw
ko makarraran chúmá aur ‘itr malá. Aur us Farísí ne jis ne us kí da‘wat
kí thí, yih dekh kar apne men kahne lagá, ki agar yih nabí hotá, to
jántá, ki jo use chhụtí hai, yih kaun aur kaisí ‘aurat hai, ya‘ní yih gunahgár
hai. Aur Yisú‘ ne mukhátab ho kar us se kahá, ki ai Shama‘ún mujhe
tujh se kuchh kahná hai. us ne kahá, ai ustád farmá.
Kisí sáhúkár ke do qarzdár the; ek pánch sau
dinár ká, dúsrá pachás ká. Jab unhen adá karne ká maqdúr na
rahá, to us ne donon ko bakhsh diyá. Pas un men se kaun
use ziyáda piyár karegá? Shama‘ún ne jawáb men kahá: merí dánist
men wuh jise us ne ziyáda bakhshá. Tab us ne us se kahá: tú
ne ṭhík faisala kiyá hai. Aur us ‘aurat kí taraf munh phir kar us ne
Shama‘ún se kahá: kyá tú is ‘aurat ko dekhtá hai? Main tere ghar men
áyá, tú ne pánw ke liye pání na diyá, magar is ne mere pánw
ánsúon se bhigo diye, aur apne bálon se ponchhe.
Tú ne mujhe na chúmá, lekin is ne jab se ki main andar áyá hún
mere pánwon chúmne se báz na rahí. Tú ne mere sir par tel na
malá, magar is ne mere pánwon par ‘itr malá hai. Isí liye main
tujh se kahtá hún, is ke gunáh jo bahut hain mu‘áf ho gaye,
kyúnki is ne bhaut piyár kiyá hai, magar jise thoṛá mu‘áf kiyá
gayá hai wuh thoṛá piyár kartá hai. Aur us ‘aurat se kahá, ki tere gunáh
mu‘af húe. Is par ham-niwále apne men kahne lage, ki yih kaun hai, jo
gunáh mu‘af kartá hai? Magar us ne ‘aurat se kahá: Tere ímán ne tujhe
bachá liyá hai, salámat chalí já.
Aur ba‘d men wuh shahr shahr aur gánw
gánw já kar wa‘z kartá, aur Khudá kí bádsháhí kí khushkhabarí
detá thá, aur wuh bárah us ke sáth the. Aur ka’í ‘auraten bhí jo
badrúhon aur bímáríon se shifá-yáb húí thín,
ya‘ní Mariyam jo Majadlí kahlátí hai. Jis men se sáth badrúhen
niklí thín, aur Hannah Herodes ke díwán Kúzá kí bíwí, aur Susan
aur bahuterí aur bhí jo apne mál se un kí khidmat kartí thín.
Injíl i Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham insán hote húe rúh aur jism rakhte hain
Jo nazráne ham tere huzúr men láe hain
Wuh khúrák kí haisíyat se hamárí parwarish karte hain
Aur sákráminṭ ban kar
Hamen nayí zindagí dete hain
‘ináyat farmá ki
Hamáre badan aur rúhen is madad se mahrúm na rahen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) Psalm 26: 4
Khudáwand se
merí ek hí darkhwást hai, yihí merí guzárish hai
ki main apní zindagí ke tamám ayyám Khudáwand ke
ghar men rahún.
Or
(Yúhanná) John 17: 11
Khudáwand ne du‘á
kar ke kahá ki, ai Quddús Báp, apne us nám ke wasíle se jo tú ne mujhe bakhshá
hai, in kí hifázat kar, táki yih hamárí mánind ek hon.
Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Yih Pák Sharákat jo ham ne lí hai
Is haqíqat kí taraf ishárah kartí hai ki sab muminín tujh men
ek hain
‘atá kar ki yih wáqe‘í terí Kalísiyá men ittifáq aur ittihád
paidá kare
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
…
Podcast:
For
Sermon by Fr. Robert Barron click here
For
reflection by Dr. Scott Hahn click here
For
commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page
click here
Some
great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at
The Divine Lamp click here
No comments:
Post a Comment