Sál ke daurán terahwán Itwár (C)
Dákhilah (Entrance Antiphon):
(Zabúr) Psalm 46: 2
Ai sab qaumo táliyán bajáo. Khudá ke liye khushí
kí áwáz se lalkáro.
Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai karím Khudá
Tú cháhtá hai ki ham fazl pá kar núr ke farzand banen
‘atá kar ki khatá aur g̣halatí ham par g̣hálib na áe
Balki ham hamesha haq kí maihak se numáyán rahen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai.
Ámín.
Readings
Pahlí Tiláwat: (Mulúk kí
pahlí kitáb) 1 Kings 19:16. 19-21
Ilísah uṭhá, aur Iliyás ke sáth chalá gayá.
Pák
kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Zabúr: Psalm 15:1-2.5 7-11 Jamá‘ati jawáb áyat: 5
Jamá‘ati jawáb: Ai Khudáwand tú merá bakhrá hai.
Dusrí Tiláwat: (Muqaddas Paulus
Rasúl Ká Khatt Galátíon ke nám) Gal 5:1, 13-18
Tum ázádí ke liye buláe gaye the.
Pák
kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
(Gospel Acclamation):
Hallelujah: (Samúel) 1 Samuel 3:9, (Yúhanná) John 6:69
Hallelujah, Hallelujah
Ai Khudáwand farmá, terá banda suntá hai
Hamesha kí zindagí kí báten to tere hí pás hain
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq)
Luke 9:51-62
Yisú‘ ne irádatan Yarúshalem ká rukh kiyá. Jahán
kahín tú jáe, main tere píchhe chalúngá.
Us waqt jabYisú‘ ke su‘úd ke din
qaríb the, to us ne pukhtah irádah kiyá ki Yarúshalem ká rukh
kare. Aur apne áge qásid bheje, aur wuh já kar Sámaríon ke ek gánw
men dákhil húe, táki us ke liye taiyárí karen. Lekin
unhon ne use qabúl na kiyá, kyúnki us ká rukh
Yarúshalem jáne ká thá. Us ke shágird Ya‘qúb aur Yúhanná ne yih dekh
kar kahá, ki ai Khudáwand, kyá tú cháhtá hai ki ham hukm den
ki ásmán se ág utre aur unhen bhasam kare? Tab us ne muṛ kar unhen
jhiṛká [aur kahá tum nahín jánte ki tum kis rúh ke ho. Ibn i
Insán insánon kí ján halák karne nahín, balki bacháne
áyá hai] tab wuh dúsre qasbah ko chale gaye.
Aur jab wuh ráh men chale játe the, to kisí ne us se kahá: Ai
Khudáwand, Jahán kahín tú játá hai, main tere
píchhe chalúngá. Yisú‘ ne us kahá: Lomṛiyon ke liye mánden
hain, aur parindon ke liye ghonsle; magar Ibn i Insán ke
liye itní jagah bhí nahín, jahán sir rakkhe.
Aur us
ne kisí aur se kahá, ki mere píchhe ho le. Us ne kahá: Ai Khudáwand,
mujhe rukhsat de, ki pahle já kar apne báp ko dafn karún.
Yisú‘ ne us se kahá: Murdon ko apne murde dafn karne de, magar tú já
aur Khudá kí bádsháhí kí bishárat de.
Ek aur ne kahá, ki ai Khudáwand main tere píchhe ho lúngá,
magar mujhe ijázat de, ki pahle gharwálon se rukhsat ho áún.
Yisú‘ ne us se kahá, ki jo koí apná háth hal par rakkh kar píchhe dekhtá
hai, wuh Khudá kí bádsháhí ke láiq nahín.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai mihrbán Khudá
Tú apne pák sákráminṭon ke zarí‘e muassir taur par
kám kartá hai
‘ináyat kar ki hamárí khidmat guzárí aur ‘ibádat
Terí pák ni‘maton ke mutábiq hon
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) cf. Ps 102: 1
Merí ján Khudáwand ko Mubarak kah aur jo kuchh mujh men
hai us ke quddús nám ko mubárak kahe.
Yá
(Yúhanná) cf. John 17: 20-21
Khudáwand ne
du‘á kí aur kahá ki, ai Báp main in ke liye ‘arz kartá hún
Táki wuh ham men ek hon, aur duniyá ímán láe ki
tú ne mujhe bhejá hai.
Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham tujh se minnat karte hain
Bakhsh de ki
Jo Iláhí Qurbání ham ne nazr kí hai
Aur jis men ham ne shirkat kí hai
Wuh hamen zindagí diláe
Táki ham páedárí mahabbat rakh kar tujh se milte rahen
Aur na saṛne wálá phal láyá karen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
…
Podcast:
For
Sermon by Fr. Robert Barron click here
For
reflection by Dr. Scott Hahn click here
For
commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page
click here
Some
great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite
at The Divine Lamp click here
No comments:
Post a Comment