(Of Divine Mercy)
Páshká ká dúsrá Itwár C
Dákhilah (Entrance Antiphon): (1Patras) 1 Peter 2:2
Tum to nauzád bachchon kí
mánind,
khális rúhání dúdh ke mushtáq raho,
táki is ke wasíle se naját ke
liye baṛhte jáo. Hallelujah
Or
4 Esdr 2:36-37
Tum apne jalál kí khushnúdí
páo.
Khudá kí shukrguzárí karo
kyúnki us ne tumhen
ásmáni bádsháhí ki liye buláyá hai. Hallelujah
Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Khudá, tú hamesha rahím
aur mihrbán hai
Jab bhí ham Páshká kí ‘Íd
manáte hain
To tú apní qaum ke ímán ko naye
sire se zinda kartá hai
Apne fazl baṛhá táki ham sahíh
taur par yih samajhen
Ki ham kis pání se sáf kiye gaye
hain
Ham ne kis Rúh se nayí paidáish
hásil kí
Aur kis Khún ke bahne se
naját páí hai
Hamen yih taufíq ‘atá kar,
Masíh hamáre Khuáwand ke wasile se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdaniyyat men
Khudá hai
Aur hamesha se
hamesha tak zinda rahtá aur saltanat kartá hai. Ámín
Readings
Pahlí Tiláwat:
(Rasúlon ke
A‘mál) Acts 5:12-16
Khudáwand par imám láne wale mard o
zan ziyáda hote játe the.
Un dinon men sab
ímándár ek dil ho kar Sulaimán kí ḍeyoṛhí men jama‘ húá karte
the, lekin auron men se kisí ko jur’at na húí, ki un men
já mele; magar log un kí ta‘ríf karte the; aur Khudáwand par ímán
láne wale mard o zan ziyáda hote játe the. Yahán tak ki log bímáron
ko saṛkon par lá lá kar, chárpáiyon aur khaṭolon par
rakhte the, táki jab Patras áe to us ká sáya hí un men se kisí par
paṛ jáe, aur Yarúshalem ke ás-pás ke shahron se bhí log jama‘ ho
kar bímáron, aur nápák rúhon ke satáe húon ko láte
the, aur wuh sab shifá páte the.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par
Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Zabúr : Psalm 118:2-4, 15-18,
22-24 Jamá‘ati jawáb áyat:1
Jamá‘ati jawáb:
Khudáwand ká shukr karo, kyúnki
wuh nek hai
aur us kí rahmat abad tak qáim hai.
or
Hallelujah, Hallelujah, Hallelujah
Isráíl ká gharáná kahe, ki us
kí Rahmat abad tak qáim hai
Hárún ká gharáná kahe, ki us
kí Rahmat abad tak qáim hai
Khudáwand se ḍarne wále kahen, ki us ki
Rahmat abad tak qáim hai
Khudáwand ká shukr karo, kyúnki
wuh nek hai
aur us kí rahmat abad tak qáim
hai.
Khuwáwand ke yamín ne quwwat ká kám kiyá
hai
Khuwáwand ke yamín ne mujhe faráz kiyá hai
Main marúngá nahín
balki jítá rahúngá aur Khudáwand ke kám bayán karúngá
Khudáwand ne mujhe sakht tambíh kí hai,
lekin maut ke hawále nahín kiyá
Khudáwand ká shukr karo, kyúnki
wuh nek hai
aur us kí rahmat abad tak qáim
hai.
Jo patthar mi‘máron ne radd
kiyá, wuhí kone ká sirá ho gayá hai
Yih Khudáwand kí taraf se
húá hai, yih hamárí nigáh men ta‘ajub angez hai
Yih wuhí din jise Khudáwand
ne muqarrar kiyá hai
Ham is ke báre men shádmán
hon, aur khushí manáen
Khudáwand ká shukr karo, kyúnki
wuh nek hai
aur us kí rahmat abad tak qáim
hai.
Dusrí Tiláwat:
(Mukáshafa) Revelation 1:9-13, 17-19
Main mar gayá thá aur
abadu’l ábád zinda hún.
Main Yúhanná tumhárá bháí,
jo Yisú‘ ke dukh, aur bádsháhí, aur sabr men tumhárá sharík hún,
Khudá ke kalám aur Yisú‘ Masíh kí gawáhí ke sabab se us jazírah
men thá, jo Patmus kahlátá hai. Main Khudáwand ke din
wajd men á gayá, aur
main ne turhí kí sí ek baṛí áwáz apne píchhe suní, jo kahtí
thí ki jo kuchh tú dekhtá hai, use kitáb men likh aur sát
kalísiyáon ke pás ya‘ní, Afasús aur Izmír, aur G̣hámus, aur Tíátíra, aur
Sardís, aur Filadalifiya, aur Lázqíya ko bhej.
Aur main phirá táki us
áwáz ko dekhún, jo boltí hai, aur phir kar sone ke sát shama‘dán
dekhe. Aur shama‘dánon ke bích men Ibn i Insán ká sá ek shakhs
dekhá, wuh pánwon tak ká jáma pahine, aur sunaihrí sínaband
sína par bándhe húe thá.
Jab main ne use dekhá, to us
ke pánwon par murda sá gir paṛá. Tab us ne apná dahiná
háth mujh par rakkhá, aur kahá, ki na ḍar main awwal, aur ákhir
hún. Main wuh hún jo zinda hai, main mar gayá
thá, aur dekho abadu’l ábád tak zinda hún, aur maut, aur ‘álam i asfal
kí kunjiyán mere pás hain. Pas jo kuchh tú ne dekhá hai use
likh le; ya‘ní wuh báten jo ab hain, aur wuh bhí jo in ke ba‘d
hone wálí hain.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par
Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Hallelujah: (Yúhanná) John 20:29
Hallelujah, Hallelujah,
Yisú‘ ne kahá is liye ke tú ne
mujhe dekhá hai to ímán láyá hai,
mubárak wuh hain jinhon
ne nahín dekhá to bhí, ímán láe hain.
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq )
John 20:19-31
Áṭh din ke ba‘d, Yisú‘ áyá
Usí roz hafte ke pahle din, shám
ke waqt, jab us jagah ke darwáze jahán shágird jama‘ húe the,
Yahúdíon ke khauf se band the, Yisú‘ á kar bích men
khaṛá ho gayá, aur un se kahá tumhen salámatí hasil ho, aur yih
kah kar apne háthon aur paslí ko unhen dikháyá. Pas shágird Khudáwand
ko dekh kar khush húe. Aur Yisú‘ ne phir un se kahá, tumhen
salámatí hasil ho,
Jis tarah Báp ne mujhe bhejá hai,
main bhí usí tarah tumhen
bhejtá hún.
Us ne yih kah kar un par phúnká,
aur kahá ki
tum Rúhu’l Quds lo.
Jin ke gunáh tum mu‘áf karo
un ke mu‘áf kiye gaye hain;
Jin ke gunáh tum qáim rakkho,
un ke qáim rakkhe gaye hain.
Magar un bárah men se ek
ya‘ní Tomá ‘urf Dídímus, Yisú‘ ke áte waqt un ke sáth na thá. Tab
dúsre shágirdon ne us se kahá, ki ham ne Khudáwand ko dekha
hai, magar us ne un se kahá, jab tak main us ke háthon men
mekhon ke chhed na dekh lún, aur mekhon kí
jagah apní unglí na ḍál lún, aur apne háth ko us kí paslí men
na dál lún, hargiz yaqín na karúngá. Áṭh roz ke ba‘d, us
ke shágird phir andar the, aur Tomá un ke sáth thá, go darwáze band the,to
bhí Yisú‘ áyá aur bích men khaṛá ho kar bolá; tumhen
salámatí hasil ho. Phir us ne Tomá se kahá ki apní unglí pás lá kar
yahán dákhil kar, aur mere háthon ko dekh, aur apná
háth pás lá kar use merí paslí men ḍál, aur ghair-mua‘taqid nahín,
balki mua‘taqid ban. Tomá ne jawáb men us se kahá; tú mera, Khudáwand
merá Khudá hai.
Yisú‘ ne us kahá;
Ai Tomá is liye ki tú ne mujhe dekhá hai to
ímán láyá hai,
Mubárak wuh hain, jinhon
ne nahín dekhá to bhí ímán láe hain.
Aur Yisú‘ ne apne shágirdon
ke sámne aur bahut se kirishme dikháe, jo is kitáb men likhe nahín
gaye, lekin yih is liye likhe gaye hain, ki tum ímán láo, ki Yisú’
hí Almasíh Ibn-i Khudá hai, aur ki tum ímán lá kar us ke nám se
zindagí páo.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se
hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh,
terí sitáish ho.
Nazránon par Du‘á (Prayer
over the Offerings)
Ai Khudáwand, hamáre Khudá
Apní shádmán kalísiyá aur
Khás taur par apne baptisma pánewále farzandon
ke nazráne qabúl farmá
Táki ham tere Pák nám ká iqrár
karke
Aur baptisma ke pání ke g̣husl ke
zarí‘e naye ban kar
Hamesha kí zindagí hásil karen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín
Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):( Yúhanná) John 20:27
Khudáwand Yisú‘ ne apne rasúl se kahá ki apná
háth ḍál
aur mekhon kí jagahon
ko dekh
ghair-mua‘taqid nahín balki
mua‘taqid ban. Hallelujah
Pák Sharákat ke ba‘d kí du‘á
Ai Qádir I Mutlaq Khudá
Bakhsh de ki Páshká kí ‘Íd ke mauqa‘ par
Jo Pák Sákráminṭ ham ne liyá hai
Wuh lagátár ham men qáim rahe
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín
...
Podcast:
For Sermon by Fr. Robert Barron
click here
For reflection by Dr. Scott Hahn
click here
Some
great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite
at The Divine Lamp click here
No comments:
Post a Comment