Páshká ká páchwán Itwár C
Dákhilah (Entrance Antiphon): Cf. (Zabúr) Ps 97: 1-2
Khudáwand ke liye nayá gít gáo
kyúnki us ne ‘ajíb kám
kiye hain.
Us ne g̣hair qaumon ke rú ba
rú apná ‘adl záhir kiyá hai.
Hallelujah
Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Rahím Khudá
Terí taraf se ham mukhlasí
páte
Aur tere le-pálak farzand bante hain
Apne piyáre farzandon par
karam kí nazar kar
Táki ham Masíh par ímán lá kar
tujh se haqíqí ázádí aur
hamesha kí zindagí páen
Masíh hamáre Khuáwand ke
wasile se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdaniyyat men
Khudá hai
Aur hamesha se
hamesha tak zinda rahtá aur saltanat kartá hai. Ámín
Readings
Pahlí Tiláwat:
(Rasúlon ke A‘mál) Acts
14:21-27
Unhon ne kalísiyá men
bayán kiyá ki Khudá ne hamáre sáth kyá kuchh kiyá
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par
Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Zabúr: Psalm 144:8-13 Jamá‘ati jawáb
áyat: 1
Jamá‘ati jawáb: Ai mere Khudá
Bádsháh main abadu’l ábád tak tere nám ko mubárak kahtá rahúngá.
or
Hallelujah!
Dusrí Tiláwat:
(Mukáshafa) Revelation 21:1-5
Khudá un kí ánkhon se
tamám ánsú ponchh degá
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par
Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr
ho.
Hallelujah: (Yúhanná) Jn13:34
Hallelujah, Hallelujah,
Yisú‘ ne kahá main tumhen
ek nayá hukm detá hún,
Ki ek dúsre ko piyár karo, jaisá
main ne tum ko piyár kiyá.
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq) John
13:31-35
Main tumhen ek nayá
hukm detá hún, ki ek dúsre ko piyár karo.
Us waqt jab Yahúdáh báhar chalá
gayá, to Yisú‘ ne kahá, ki ab Ibn i Insán ne jalál páyá hai, aur Khudá
ne us men jalál páyá hai, aur jab ki Khudá ne us men
jalál payá hai, to Khudá use bhí apne men jalál degá, balki
use fi’lfaur jalál degá. Ai bachcho! Main aur thoṛí der tek tumháre
sáth hún. Tum mujhe ḍhúnḍoge, aur jaisá ki main ne Yahúdíon
se kahá, ki jahán main játá hún, tum nahín á
sakte, waisá hí ab main tum se bhí kahtá hún. Main
tumhen ek nayá hukm detá hún, ki ek dúsre ko piyár karo;
jaisá main ne tum ko piyár kiyá, tum bhí aisá hí ek dusre ko
piyár karo. Agar tum ek dúsre ko piyár karoge, to is se sab jánenge
ki tum mere shágird ho.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se
hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh,
terí sitáish ho.
Nazránon par Du‘á (Prayer
over the Offerings)
Ai piyáre Khudá
Tú is qurabání kí Pák ‘ibádat
ke zarí‘e
Hamen apní wáhid aur a‘la
iláhí zát men sharík kar letá hai
‘ináyat kar ki ham terí sacháí
ko jánte húe
Láiq chál chalen se use apnáen
Masíh hamáre Khudáwand ke
wasíle se. Ámín.
Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): Cf. (Yúhanná) Jn 15: 1,
5
Khudáwand farmátá hai: haqíqí ták main
hún, tum ḍáliyán ho, jo mujh men rahtá hai aur main
us men, wuh bahut phal látá hai. Hallelujah
Pák Sharákat ke ba‘d kí du‘á
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Mihrbaní se apne logon kí
madad kar
Tú ne ásmán kí besh qímat
ni‘maton se hamen ma‘múr kiyá hai
Bakhsh de ki ham purání
zindagí chhoṛ kar naí zindagí ikhtiyár kar len.
Masíh hamáre Khudáwand ke
wasíle se. Ámín.
…
Podcast:
For
Sermon by Fr. Robert Barron click here
For
reflection by Dr. Scott Hahn click here
For
commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page
click here
Some
great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite
at The Divine Lamp click here
No comments:
Post a Comment