Páshká ká Chauthá Itwár C
Dákhilah (Entrance Antiphon): Cf. (Zabúr) Ps 32: 5-6
Zamín Khudá kí shafaqat se
ma‘múr hai.
Ásmán Khudá
ke kalme se banáyá gayá.
Hallelujah
Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Qádir i Mutlaq Khudá
Hamen ásmání khushíon
ke mulk men le já
Táki terá g̣haríb gallah wahán
pahúnche
Jahán us ká hoshyár aur
wafádár Chaupán us ke áge áge chalá
Aur ab tere sáth Rúhu’l Quds kí
wahdaniyyat men Khudá hote húe
Hamesha se
hamesha tak zinda rahtá aur saltanat kartá hai. Ámín
Readings
Pahlí Tiláwat:
(Rasúlon ke
A‘mál) Acts 13:14, 43-52
Ham g̣hair qaumon kí taraf mutawajjih
hon.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par
Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Zabúr: Psalm 99:1-3, 5. Jamá‘ati
jawáb áyat: 3
Jamá‘ati jawáb: Ham us kí ummat
aur us kí charágáh kí bheṛen hain.
or
Hallelujah!
Dusrí Tiláwat:
(Mukáshafa) Revelation 7:9, 14-17
Barra un kí gallabání karegá aur
un ko áb-i-hayát ke chashmon tak pahuncháegá
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par
Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr
ho.
Hallelujah: cf. (Yúhanná) Jn10:14
Hallelujah, Hallelujah,
Khudáwand farmátá hai: Achchhá charwáhá main
hún,
Main apní bheṛon ko
jántá hún, aur wuh mujhe jántí hain
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq) John
10:27-30
Main apní bheṛon ko
hamesha kí zindagí bakhshtá hún.
Us waqt Yisú‘ ne kahá: merí bheŕen
merí áwáz suntí hain,
aur main unhen jántá
hún, aur wuh mere píchhe píchhe chaltí hain;
aur main unhen hamesha
kí zindagí bakhshtá hún;
aur wuh abad tak kabhí halák na hongí,
aur koí unhen mere háth
se chhín na legá.
Jo mere Báp ne mujhe diyá hai, wuh
sab se baṛá hai,
aur koí mere Báp ke háth se
chhín nahín saktá.
Main aur Báp ek hain.
Injíl i Muqaddas ke wasíle se
hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh,
terí sitáish ho.
Nazránon par Du‘á (Prayer
over the Offerings)
Ai Khudáwand, hamáre Khudá
Bakhsh de ki ham hamesha
Apne áp ko in páshkáí rasmon ke sabab khush
qismat jánen
Táki hamárí khushí kí lagátár asar
Hamárí hamesha kí zindagí ká sabab ho
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
Nek Chaupán apní bheṛon
kí khátir ján de kar
aur apne galle ke
liye maut saih kar
murdon men se zinda
húá
Pák Sharákat ke ba‘d kí du‘á
Ai nek Chaupán
Mihrbání se apne galle kí
nigahbání kar
Tere Beṭe ne apná besh qímat khún
bahá kar
bheṛon ko bachá liyá
Apne karam se in ko dáimí
charágáhon men le já
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín
...
Podcast:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here
For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the
Sacred Page click here
Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms
of the Rite at The Divine Lamp click here
No comments:
Post a Comment