Sál ke daurán tíswán Itwár (B)
Dákhilah (Entrance
Antiphon):
Cf. (Zabúr) Psalm 104:3-4
Khudáwand
ke tálibon ke dil shádmán hon, Khudáwand aur us kí
quwwat ko talab karo, har waqt us ke chihre kí talásh men raho
Readings
Pahlí
Tiláwat:
(Irmiyá
nabí ká sahífa) Jeremiah 31:7-9
Jab main
andhe aur langṛe ko wápas láúngá to un ko árám dúngá.
Pák Kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Zabúr: Psalm125:
1-6 Jamá‘ati jawáb áyat: 3
Khudáwand
ne hamáre liye ‘azím kám kiye hain.
Dusrí
Tiláwat:
(Muqaddas
Paulus Rasúl Ká Khatt ‘Ibráníon Ke Nám) Hebrew 5:1-6
Tú mulkí sádaq ke rutba ká
dáiman Káhin
hai.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
(Gospel
Acclamation)
Hallelujah:(Yúhanná)
Jn8:12
Hallelujah,
Hallelujah
Khudáwand farmátá hai, dunyá ká núr
main hún,
jo merí
pairawí karegá, wuh zindagí ká núr páegá.
Hallelujah
OR
Hallelujah:
Cf. (Timutáús) 2Timothy1:10
Hallelujah,
Hallelujah
Hamáre
bacháne wále Masíh Yisú‘ ne maut ko nest kar diyá.
Aur
Injíl ke wasíle se hayát o baqá ko raushan kar diyá.
Hallelujah
Injíl I
Muqaddas:
(Muqaddas
Marqus ke mutábiq) Mark 10:46-52
Rabbúní,
main bínáí páon.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Pák
Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
Cf. (Zabúr) Psalm 19:6
Kásh ham terí fatahmandí manáen,
aur apne Khudá ke nám se jhanḍá
khaṛá karen
OR
(Ifisíon)
Ephesians 5:2
Masíh ne
mahabbat se hamáre ‘iwaz apne
áp ko shirín khusbú kí mánind Khudá kí nazr kiyá.
Pák
Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand,
hamáre Khudá
‘ináyat
kar ki
Terí in
niháyat Pák chízon men
Jo kuchh
hásil hotá hai
Wuh ham
par asar kare
Táki ham
dar haqíqat wuh sab kuchh páen
Jis kí
taraf yih rasme ishárah kartí hain
Masíh
hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
...
Podcasts:
For
Sermon by Fr. Robert Barron click here
For
reflection by Dr. Scott Hahn click here
For
commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page
click here
Some
great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite
at The Divine Lamp click here
No comments:
Post a Comment