Friday, 19 October 2012

21st October 2012, Twenty Ninth Sunday in Ordinary Time B


Sál Ke Daurán Untíswán Itwár (B)

khilah (Entrance Antiphon):
Cf. (Zabúr) Psalm 16:6,8
Ai Khudá, main tujhe pukártá hún kyúnki tú merí sunegá, merí taraf kán jhuká. Merí bát sun le. Ai Khudáwand ánkh kí putĺi kí mánind mujhe mahfúz rakh. Apne paron ke sáye mujhe chhupá le.

Readings
Pahlí Tiláwat:
Isha‘yá nabí ká sahífa (Isaiah 53:10-11)
Agar wuh apní ján fidyah men de to wuh apní nasl dekhegá us kí umr daráz hogí.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm32: 4-5, 18-20, 22 Jamá‘ati jawáb áyat: 22
Ai Khudáwand terí rahmat ham par ho

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt ‘IbráníoKe Nám) Hebrew 4:14-16
Áo ham fazl ke takht ke pás tawaqqo‘ ke sáth jáen.
                                             
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

(Gospel Acclamation)
Hallelujah: (Yúhanná) Jn 14:6
Hallelujah, Hallelujah
Khudáwand farmátá hai:
Ráh, aur Haqq, aur Zindagí Main hún;
Mere wasíle ke baghair Báp ke pás koí nahín á saktá
Hallelujah
OR
Hallelujah: (Marqus) Mk 10:45

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Marqus ke  mutábiq) Mark 10:35-45
Ibn i Insan is liye áyá ki apní ján bahuteron ke liye fidye men de.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
Cf. (Zabúr) Psalm 33:18-19
Dekho Khudáwand kí nigáh un par hai jo us se daṛte hain. Un par jin kí ummed us kí shafqat par hai. Táki un kí jánon ko maut se chhuṛáe aur qaht ke waqt un ko khiláe.
OR
(Marqus) Mark 10:45
Ibn i Insán is liye áyá ki apní ján bahuton ke badle fidye men de.

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á 
Ai Khudáwand, hamáre Khudá
Ham tujh se minnat karte hain
In Sákaráminṭon ke zarí‘e hamen ‘atá kar
Ki ham ‘árizí ni‘maton se fáida uṭháen
Aur dáimí bakhshishon se ‘irfán hasil karen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín
...
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

From The Gospel of Mark by Mary Healy, comnenting on Mark 10:45, Reflecting on the Gospel for the Twenty-Ninth Sunday inOrdinary Time
  
Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment