Saturday, 14 April 2012

15th April 2012 Divine Mercy Sunday


Páshká ká dúsrá Itwár

khilah (Entrance Antiphon): (1Patras) 1 Peter 2:2
Tum to nauzád bachchon kí mánind,
khális rúhání dúdh ke mushtáq raho,
táki is ke wasile se naját ke liye baṛhte jáo. Hallelujah
Or
Tum apne jalál kí khushnúdí páo.
Khudá kí shukrguzárí karo
kyúnki us ne tumhen ásmáni bádsháhí ki liye buláyá hai. Hallelujah

Readings
Pahlí Tiláwat:  
(Rasúlon ke A‘mál) Acts 4:32-35
Muttahid, ek dil aur ek ján
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.


Zabúr : Psalm 118:2-4, 15-18, 22-24  Jamá‘ati jawáb áyat:1
Jamá‘ati jawáb:
Khudáwand ká shukr karo, kyúnki wuh nek hai
aur us kí rahmat abad tak qáim hai.
or
Hallelujah, Hallelujah, Hallelujah 

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Yúhanná Rasúl Ká Pahlá Khatt) 1John 5:1-6
Jo koí Khudá se paidá húá hai wuh duniyá par ghálib á gayá hai.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: (Muqaddas Yúhanná ke mutábiq ) John 20:29
Hallelujah, Hallelujah,
Yisú‘ ne kahá is liye ke tú ne mujhe dekhá hai to ímán láyá hai,
mubárak wuh hain jinhon ne nahín dekhá to bhí, ímán láe hain.
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq ) John 20:19-31
Áṭh din ke ba‘d, Yisú‘ áyá
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):( Yúhanná) John 20:27
Khudáwand Yisú‘ ne apne rasúl se kahá ki apná háth ḍál
aur mekhon kí jagahon ko dekh
ghair-mua‘taqid nahín balki mua‘taqid ban. Hallelujah

------

Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here 
Catholic Answers Live: Father Michael Gaitley, MIC, elaborates on the beauty of divine mercy here

For an excellent commentary by Dr. John Bergsma on Divine Mercy Sunday readings check out the Sacred Page here 
More Resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp blog here

No comments:

Post a Comment