1
Mubárak wuh hai ádmí
jo
sharíron kí saláh par nahín chlatá,
aur
khatákáron kí ráh men qadam nahín rakhtá
Aur
na t̟hat̟t̟hábázon kí majlas hí men bait̟htá hai
2
Balki jis kí musarrat Khudáwand kí sharí‘at men hai
Aur
jo din rát usí ki par sharí‘at dhiyán lagátá hai.
3
Wuh us darakht kí mánind hai
Jo
pání kí nahron ke pás lagáyá gayá hai
Jo
apne waqt par phal detá hai
Jis
ke patte nahín murjháte
Jo
kuchh wuh kartá hai, kámyáb hotá hai.
4 Sharír aise nahín, hargiz aise nahín
Balki wuh bhúse kí mánind hain jise hawá ur̟á le játí hai
5
Is liye sharír ‘adálat men qáim na rahenge
Aur
na khatákár sádiqon kí jamá‘at hí men
6
Kyúnki Khudáwand sádiqon kí ráh pahchántá hai,
Par
sharíron kí ráh nábúd ho jáegí.
-------
No comments:
Post a Comment