Rozon ká Dúsrá Itwár B
Dákhilah (Entrance
Antiphon)
(Zabúr) cf.
Psalm 26:8-9
Merá dil tujh se ham kalám hotá hai.
Ai Khudáwand main tere chihre kí talásh kartá hún.
Main tere dídár ká tálib hún.
Apná munh mujh se na moṛ.
Or
(Zabúr) cf.
Psalm24: 6. 2. 22
Ai Khudáwand yád kar ki tú dunyá ke shurú‘ hí se
niháyat rahím aur shafíq hai. Aisá na ho ki hamáre dushman ham par khushí
manáen.
Ai ummat ke Khudá hamen tamám
taklifon se riháí de.
Jamá‘atí Du‘á (Collect)
Ai mihrbán Báp Khudá
Tú ne hamen is kám kí hidáyat kí
Ki ham tere piyáre Beṭe kí báten sunen
Mihrbání se apne kalám se hamáre dilon aur damág̣hon
kí parwarish kar
Táki ham rúhání báton se ágáh ho kar
Shádmání ke sáth tere chihre ká dídár kar saken
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai.
Ámín.
Readings
Pahlí Tiláwat: (Takwín)
Genesis 22:1-2, 9-13, 15-18
Hamáre báp,
Ibráhím ki qurbání
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Zabúr: Ps 115 (116): 10,15,16-19Jamá‘ati
jawáb áyat: Ps 114(115):9
Jamá‘ati jawáb:
Main Khudáwand ke huzúr arz-e zindagán men chaltá rahúngá
Main
us waqt bhí ímán láyá jab main ne kahá
Ki
“main saḳht musíbat men mubtalá hún”
Khudáwand
kí nigáh men
Us
ke barguzídon kí maut besh bahá hai
Jamá‘ati jawáb:
Main Khudáwand ke huzúr arz-e zindagán men chaltá rahúngá
Ai
Khudáwand main terá banda hún
Main
terá banda ya‘ní terí kaníz ká farzand hún
Tú
ne mere bandhanon ko kholá hai
Main
hamd ká zabíhe tere huzúr guzránún gá
Aur
Khudáwand ká nám lúngá.
Jamá‘ati jawáb:
Main Khudáwand ke huzúr arz-e zindagán men chaltá rahúngá
Main
us kí tamám ummat ke rú-ba-rú
Khudáwand
ke ghar kí bárgáhon men
Bait-ulmuqaddas
ke andar tere hí darmiyán ai Yarúshalem
Apní
mannaten adá karúngá
Jamá‘ati jawáb:
Main Khudáwand ke huzúr arz-e zindagán men chaltá rahúngá
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas
Paulus Rasúl Ká Khatt Romíon ke nám) Romans
8:31-34
Khudá ne apne Beṭe ko bhí daregh na
kiyá
Ai bháiyo! Agar Khudá hamárí taraf hai,
to kaun hamáre khaláf hogá. Jis ne apne hí Beṭe ko bhí daregh
nahín kiyá hai, balki use ham sab ke badle hawála kar diyá hai, to
wuh us ke sáth sab chízen bhí hamen kyúnki nahín
bakhshegá? Khudá ke barguzídon par kaun da‘wa karegá? Khudá
hí sádiq ṭhahrátá hai. Kaun mujrim ṭhahráegá? Masíh Yisú‘ hí hai jo
mar gayá, balki jí uṭhá aur Khudá kí dahiní taraf hai, aur wuhí
hamárí shafá‘at bhí kartá hai.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Na‘rah-e Hamd: (Matí) Matthew
17:5
Núrání bádal men se
Báp kí áwáz sunáí dí ki
Yih merá Beṭá hai “Al-Mahbúb”, is kí suno.
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas ke Marqus mutábiq) Mark 9:2-10
Yih merá Beṭá hai “Al-Mahbúb”
Us waqt Yisú‘ ne Patras aur Ya‘qúb aur Yúhanná ko sáth liyá,
aur unhen ek únche paháṛ par ‘alahidagí men le gayá:
aur un ke sámne us kí súrat badal gayí. Aur us kí poshák aisí darakhshán aur niháyat safed ho gayí ki dunyá men koí qassár waisí safed nahín kar saktá. Aur Iliyás Músá ke sáth unhen
dikháí diyá; aur wuh Yisú‘ ke sáth báten karte the. Aur Patras ne
Yisú‘ se mukhátib ho kar kahá, ki Rabbí hamárá yahán
rahná achchhá hai, aur ham tín ḍere banáen, ek tere liye, aur ek
Músá ke liye, aur ek Iliyás ke liye. Kyúnki wuh jántá na thá ki
kyá kahtá hai, is liye ki wuh bahut ḍar gaye the. Tab ek bádil ne un par
sáya kar liyá, aur us bádil se áwáz áí, ki “Yih merá Beṭá hai
Al-Mahbúb, is kí suno. Unhon ne yaká-yak nazar dauṛá kar siwáe
akele Yisú‘ ke, aur kisí ko apne sáth na dekhá. Aur jab wuh paháṛ par se
utarte the, to us ne unhen mana kiyá ki jab tak Ibn-i-Insán murdon men se na jí uṭhe, jo
kuchh tum ne dekhá hai, kisí se na kahná.
Aur wuh us kalám ko apne pás ikhfá kar ke ek dúsre se baihs karte the, ki murdon men se jí uṭhne
se kyá murád hai?
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Nazránon par Du‘á (Prayer
over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Bakhsh de ki ham is
pák qurbání ke zarí‘e
Apne gunáhon kí
gandagí se pák sáf ho jáen
Apne ímándáron ko
yih taufíq ‘atá kar
Ki wuh rúhání báton
ko samajh kar
Pák dilí ke sáth Páshká
kí ‘íd maná saken
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín
Tamhídí Hamd (Preface)
Yih wáqa‘i wájib aur niháyat munásib hai
Ai Quddús Báp
Ki ham har waqt aur har jagah
Tere piyáre Beṭe ke wasíle se terá shukr adá karen
Us ne apne shágirdon ko apní maut kí khabir de kar
Muqaddas paháṛ par apná jalál un par záhir kiyá
Us ne Taurát aur Ambiyá kí
gawáhí pesh kar ke
Ham par yih haqíqat wázih kí
Ki us ke dukh uṭháne hí se
Jí uṭhne kí ‘azmat hásil hotí hai
Is liye ham ásmán ke farishton aur ásmán ke sáth mil kar
Is jahán men
lagátár terí ta‘ríf karte húe
Aur yih kahte húe terí ‘azmat bayán karte hain:
Quddús, Quddús, Quddús,
Khudáwand, lashkaron ká Khudá;
Ásmán aur zamín tere jalál se ma‘múr hain.
‘Álam i bálá par Hosha‘ná.
Mubárak hai wuh jo Khudáwand ke Nám se átá hai :
‘Álam i bálá par Hosha‘ná.
Pák Sharákat kí áyat (Communion
Antiphon)
(Matí) Matthew 17:5
Yih merá Beṭá hai Al-Mahbúb jis se main khush hún,
is kí suno
Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham is pák ‘ibádat men sharík ho kar
Is bát ke liye terá wájab shukr adá karná cháhte hain
Ki tú hamáre is zamín par rahne ke báwajúd
Abhí se hamen ásmán ke báshindon ke sáth hissa
páne detá hai
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín