Wednesday, 25 February 2015

Rozon ká Dúsrá Itwár B, 1 March 2015, Second Sunday of Lent B

Rozon ká Dúsrá Itwár B

khilah (Entrance Antiphon)
 (Zabúr) cf. Psalm 26:8-9
Merá dil tujh se ham kalám hotá hai.
Ai Khudáwand main tere chihre kí talásh kartá hún.
Main tere dídár ká tálib hún.
Apná munh mujh se na moṛ.
Or
 (Zabúr) cf. Psalm24: 6. 2. 22
Ai Khudáwand yád kar ki tú dunyá ke shurú‘ hí se niháyat rahím aur shafíq hai. Aisá na ho ki hamáre dushman ham par khushí manáen.
Ai ummat ke Khudá hamen tamám taklifon se riháí de.

Jamá‘atí Du‘á (Collect)
Ai mihrbán Báp Khudá
Tú ne hamen is kám kí hidáyat kí
Ki ham tere piyáre Beṭe kí báten sunen
Mihrbání se apne kalám se hamáre dilon aur damág̣hon kí parwarish kar
Táki ham rúhání báton se ágáh ho kar
Shádmání ke sáth tere chihre ká dídár kar saken
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.

Readings

Pahlí Tiláwat:  (Takwín) Genesis 22:1-2, 9-13, 15-18
Hamáre báp, Ibráhím ki qurbání

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Ps 115 (116): 10,15,16-19Jamá‘ati jawáb áyat: Ps 114(115):9

Jamá‘ati jawáb: Main Khudáwand ke huzúr arz-e zindagán men chaltá rahúngá

Main us waqt bhí ímán láyá jab main ne kahá
Ki “main saḳht musíbat men mubtalá hún
Khudáwand kí nigáh men
Us ke barguzídon kí maut besh bahá hai
Jamá‘ati jawáb: Main Khudáwand ke huzúr arz-e zindagán men chaltá rahúngá
Ai Khudáwand main terá banda hún
Main terá banda ya‘ní terí kaníz ká farzand hún
Tú ne mere bandhanon ko kholá hai
Main hamd ká zabíhe tere huzúr guzránún gá
Aur Khudáwand ká nám lúngá.
Jamá‘ati jawáb: Main Khudáwand ke huzúr arz-e zindagán men chaltá rahúngá
Main us kí tamám ummat ke rú-ba-rú
Khudáwand ke ghar kí bárgáhon men
Bait-ulmuqaddas ke andar tere hí darmiyán ai Yarúshalem
Apní mannaten adá karúngá
Jamá‘ati jawáb: Main Khudáwand ke huzúr arz-e zindagán men chaltá rahúngá

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Romíon ke nám) Romans 8:31-34
Khudá ne apne Beṭe ko bhí daregh na kiyá

Ai bháiyo! Agar Khudá hamárí taraf hai, to kaun hamáre khaláf hogá. Jis ne apne hí Beṭe ko bhí daregh nahín kiyá hai, balki use ham sab ke badle hawála kar diyá hai, to wuh us ke sáth sab chízen bhí hamen kyúnki nahín bakhshegá? Khudá ke barguzídon par kaun da‘wa karegá? Khudá hí sádiq ṭhahrátá hai. Kaun mujrim ṭhahráegá? Masíh Yisú‘ hí hai jo mar gayá, balki jí uṭhá aur Khudá kí dahiní taraf hai, aur wuhí hamárí shafá‘at bhí kartá hai.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Na‘rah-e Hamd: (Matí) Matthew 17:5
Núrání bádal men se Báp kí áwáz sunáí dí ki
Yih merá Beṭá hai “Al-Mahbúb”, is kí suno.

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas ke Marqus mutábiq) Mark 9:2-10
Yih merá Beṭá hai “Al-Mahbúb”

Us waqt Yisú‘ ne Patras aur Ya‘qúb aur Yúhanná ko sáth liyá, aur unhen ek únche paháṛ par ‘alahidagí men le gayá: aur un ke sámne us kí súrat badal gayí. Aur us kí poshák aisí darakhshán aur niháyat safed ho gayí ki dunyá men koí qassár waisí safed nahín kar saktá. Aur Iliyás Músá ke sáth unhen dikháí diyá; aur wuh Yisú‘ ke sáth báten karte the. Aur Patras ne Yisú‘ se mukhátib ho kar kahá, ki Rabbí hamárá yahán rahná achchhá hai, aur ham tín ḍere banáen, ek tere liye, aur ek Músá ke liye, aur ek Iliyás ke liye. Kyúnki wuh jántá na thá ki kyá kahtá hai, is liye ki wuh bahut ḍar gaye the. Tab ek bádil ne un par sáya kar liyá, aur us bádil se áwáz áí, ki “Yih merá Beṭá hai Al-Mahbúb, is kí suno. Unhon ne yaká-yak nazar dauṛá kar siwáe akele Yisú‘ ke, aur kisí ko apne sáth na dekhá. Aur jab wuh paháṛ par se utarte the, to us ne unhen mana kiyá ki jab tak Ibn-i-Insán murdon men se na jí uṭhe, jo kuchh tum ne dekhá hai, kisí se na kahná.
Aur wuh us kalám ko apne pás ikhfá kar ke ek dúsre se baihs karte the, ki murdon men se jí uṭhne se kyá murád hai?

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Bakhsh de ki ham is pák qurbání ke zarí‘e
Apne gunáhon kí gandagí se pák sáf ho jáen
Apne ímándáron ko yih taufíq ‘atá kar
Ki wuh rúhání báton ko samajh kar
Pák dilí ke sáth Páshká kí ‘íd maná saken
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín

Tamhídí Hamd (Preface)
Yih wáqa‘i wájib aur niháyat munásib hai
Ai Quddús Báp
Ki ham har waqt aur har jagah
Tere piyáre Beṭe ke wasíle se terá shukr adá karen
Us ne apne shágirdon ko apní maut kí khabir de kar
Muqaddas paháṛ par apná jalál un par záhir kiyá
Us ne Taurát  aur Ambiyá kí gawáhí pesh kar ke
Ham par yih haqíqat wázih kí
Ki us ke dukh uṭháne hí se
Jí uṭhne kí ‘azmat hásil hotí hai
Is liye ham ásmán ke farishton aur ásmán ke sáth mil kar
Is jahán men lagátár terí ta‘ríf karte húe
Aur yih kahte húe terí ‘azmat bayán karte hain:

Quddús, Quddús, Quddús,
Khudáwand, lashkaron ká Khudá;
Ásmán aur zamín tere jalál se ma‘múr hain.
‘Álam i bálá par Hosha‘ná.
Mubárak hai wuh jo Khudáwand ke Nám se átá hai :
‘Álam i bálá par Hosha‘ná.


Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon)
(Matí) Matthew 17:5
Yih merá Beṭá hai Al-Mahbúb jis se main khush hún, is kí suno

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham is pák ‘ibádat men sharík ho kar
Is bát ke liye terá wájab shukr adá karná cháhte hain
Ki tú hamáre is zamín par rahne ke báwajúd
Abhí se hamen ásmán ke báshindon ke sáth hissa páne detá hai
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín

No comments:

Post a Comment