Tuesday, 29 September 2015

27th Sunday in Ordinary Time B, 4th Oct 2015

Twenty Seventh Sunday in Ordinary Time B
سال کے دَوران ستائیسواں اتوار
سالِ دوم
Sál ke daurán Sattáíswán Itwár (B)

khilah (Entrance Antiphon):
(Ástir) Cf. Est 4: 17
Ai Khudáwand, sab chízen tere mátahat hain.
Koí nahin jo terí marzí ká muqábala kare.
Tú hí ne sab kuch ya‘ni ásmán, zamín aur jo kuch ásmán ke níche hai khlaq kiyá, Tú hí sab ká Khudáwand hai.

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Takwín) Genesis 2:18-24
Wuh donon ek tan ho játe hain

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 127: 1-5 Jamá‘ati jawáb áyat: 5
Khudáwand hamárí zindagí ke tamám dinon men hamen barakat de.

Dusrí Tiláwat:
(‘Ibráníon) Hebrews 2:9-11
Pák karne wálá aur pák kiye jánewále donon ek hí men se hain.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.


(Gospel Acclamation)
Hallelujah: Jn 17:17
Hallelujah, Hallelujah
Ai Khudáwand terá kalám sachcháí hai.
Sachcháí ke wasíle se hamen muqaddas kar.
Hallelujah
Or
Hallelujah, Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Marqus ke  mutábiq) Mark 10:2-16
Jise Khudá ne joṛá hai, use insán judá na kare

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Marsiye) Lam 3: 25
Khudá apne muntazir bandon ke liye nek hai,
aur us ján ke liye bhí jo us kí tálib ho.
Or
(1 Qurintíon) Cf. 1 Cor 10: 17
Roṭí ek hí hai, is liye ham jo bahut hain ek hí badan hain.
Ham sab ek hí roṭí aur ek hí piyále men sharík hote hain.

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á 
Ai Qádir i Mutlaq Khudá
‘atá kar ke ham is Pák ‘ibádat men sharík  hone se
ásúda ho kar parwarish páen
aur ákhir kár us ke hamshakl banen
Jo hamen is rúhání ghizá men miltá hai aur jo tere sáth

hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hain. Ámín.


No comments:

Post a Comment