Tuesday, 12 February 2013

Wednesday 13th February 2013, Ash Wednesday



Rákh ká budh
khilah (Entrance Antiphon):
 (Hikmat) Wisdom 11:24, 25, 27
Ai Khdáwand tú sab maujúdát ko piyá kartá hai.
Tú kisí bhí chíz se jo tú ne banáí hai nafrat nahín kartá.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai mihrbán Khudá,
Hamen taufíq ‘atá kar ki ham Pák roza ke zari‘e badíon ká muqábala karne ke liye
Masíhí jang in madad bakhsh ‘ibádaton se shurú‘ karen
Hamen parhez-gárí aur sakht riyázat kí zarúrat hai
Hamen yih taufíq ‘atá farmá
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Yúel nabi kí kitáb) Joel 2:12-18
Apne dilon ko chák karo, na ki apne kapṛon

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 50 Jamá‘ati jawáb áyat: 3
(Jamá‘ati jawáb) Ai Khudá ham par raham kar, kyúnki ham gunahgár hain

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Dusrá Khatt Qurinthíon Ke Nám) 2 Corinthians 5:20 - 6:2
Khudá se mel kar lo, ab qabúlíyat ká waqt hai

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Na‘rah-e Hamd:
Zabúr  50:12,14
ai Khudá, mujh men ek pák dil paidá kar,
aur apní naját kí shádmání mujhe ‘ináyat kar

Injíl I Muqaddas:
Muqaddas Matí ke mutábiq Matthew 6:1-6. 16-18
Tera Báp, jo poshídagí men dekhtá hai, tujhe badla degá.

Us waqt Yisú‘ ne apne shágirdon se kahá; Khabardár, apne rástí ke kám logon ke sámne dikháne ke liye na karo, nahin to tumháre Báp kí taraf se jo ásmán par hai. Tumhen ajr na milegá. Pas jab tú khairát kare to apne sámne turhí mat bajwá, jaisá riyákár ‘ibádatkhánon aur kúchon men karte hain, táki log un kí ta‘ríf karen. Main tum se sach kahtá hún, ki wuh apná ajr pá chuke. Magar jab tú khairát kare, to jo terá dahiná háth karta hai, use terá báyán háth na jáne; táki terí khairát poshída rahe, aur terá Báp, jo poshídagí men dekhtá hai, tujhe badla degá.
          Aur jab tum du‘á karo to riyákáron kí mánind na honá, kyúnki wuh ‘ibádatkhánon men aur bázáron ke moṛon par khaṛe ho kar du‘á karna pasand karte hain, táki log unhen dekhen. Main tum se sach kahtá hún, ki wuh apná ajr pá chuke. Lekin jab tú du‘á kare to apní koṭhrí men já, aur darwáza band karke apne Báp se poshídagí men du‘á kar, aur terá Báp jo poshídagí men dekhtá hai tujhe badla degá.
          Aur jab tum roza rakkho to riyákáron kí mánind apná chihra udás na banáo, kyúnki wuh munh bigáṛte hain, táki log uhen rozadár jánen. Main tum se sach kahtá hún, kiwuh apná ajr pá chuke. Lekin jab tú roza rakkhe, sir par tel lagá, aur munh dho; táki ádmí nahín, balki terá Báp jo poshídagí men hai, tujhe rozadár jáne, aur terá Báp jo poshídagí men dekhtá hai tujhe badla degá.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Blessing and Distribution of Ashes

Rákh par barkat kí du‘á
After the Homily, the Priest, standing with hands joined, says:
 ‘Azizon! Ham tauba ká izhár karne ke liye máthon par rákh lagáenge
Áen ‘ájizí ke sáth Khudá Báp se du‘á karen
Ki wuh apne baṛe fazl ke sáth ise pák kare
After a brief prayer in silence and, with hands extended, he continues:
Ai rahím Khudá
Tú farotaní ko dekh kar tars khátá
Aur kaffáre par nigáh kar ke mihrbán ho játá hai
Mihrbání se hamárí iltijáon kí taraf tawajjuh kar
Aur apne bandon ko iláhí barkat + kí taufíq ‘atá kar
Jin ke máthon par rákh lagáí jáegí
Unhen sachchí tauba ká fazl bakhsh ki
Rozon kí pá-bandí karte húe sáf dilon ke sáth
Tere Beṭe ke marne aur jí uṭhne kí yádgár manáne ke láiq ṭhahren
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Ai mihrbán Khudá
Tú gunahgáron kí halákat nahín balki un kí tauba cháhtá hai
Mihrbání se apne bandon kí du‘áen qabúl kar ke
Is rákh ko pák kar +
Ham ise apne máthon par lagáenge
Táki hamen yád rahe ki ham sirf khák hain
Aur khák hí men lauṭenge
Bakhsh de ki ham garm-joshí ke sáth rozon kí pá-bandí karne se
Apne gunáhon kí mu‘áfí
Aur zinda Masíh se nayí zindagí hásil karne ke qábil ṭhahren
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
He sprinkles the ashes with holy water.
Then the Priests places ashes on the head of all those present who come to him, and says to each one:
Tauba karo aur Injíl par ímán láo
Yád rakh ki tú khák hai aur khák hí men lauṭegá

The Liturgy of the Eucharist

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham sanjídagí ke sáth rozon ke shurú‘ men yih qurbání chaṛháte hain,
Aur tujh se iltijá karte hain ki tú hamen nuqsán dih ‘ádaton se báz rakh
Níz nafs-kushí aur díní-muhabbat ke kámon kí waja se gunáhon se pák sáf kar
Hamen is láiq baná ki ‘aqíde ke sáth
Tere piyáre Beṭe ke dukhon ko yád karen
Jo mar kar aur murdon se zinda ho kar
Ab tere sáth hamesha se hamesha tak
zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
 (Zabúr) Psalm 1:2-3
Jo ádmí din rát Khudáwand kí  sharí‘at par dhyán lagátá hai,
wuh apne waqt par phal láegá.  

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á
Ai rahím Khudá
Jo Pák Sharákat ham ne lí hai
Us se hamen yih madad hasil ho
Ki hamáre rozon terí nazr men qabúl hon
Aur hamáre liye shifá ká bá‘is hon
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín

---
For resources for Ash Wednesday (Ordinary and Extraordinary Forms) click here

No comments:

Post a Comment