Friday, 22 February 2013

24th February 2013, 2nd Sunday of Lent C



Rozon ká Dúsrá Itwár C

khilah (Entrance Antiphon):
 (Zabúr) cf. Psalm 26:8-9
Merá dil tujh se ham kalám hotá hai.
Ai Khudáwand main tere chihre kí talásh kartá hún.
Main tere dídár ká tálib hún.
Apná munh mujh se na moṛ.
Or
 (Zabúr) cf. Psalm24: 6. 2. 22
Ai Khudáwand yád kar ki tú dunyá ke shurú‘ hí se niháyat rahím aur shafíq hai. Aisá na ho ki hamáre dushman ham par khushí manáen.
Ai ummat ke Khudá hamen tamám taklifon se riháí de.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai mihrbán Báp Khudá
Tú ne hamen is kám kí hidáyat kí
Ki ham tere piyáre Beṭe kí báten sunen
Mihrbání se apne kalám se hamáre dilon aur damág̣hon kí parwarish kar
Táki ham rúhání báton se ágáh ho kar
Shádmání ke sáth tere chihre ká dídár kar saken
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.

Readings

Pahlí Tiláwat:  (Takwín) Genesis 15:5-12.17-18
Ímán ke bande, Ibrám ke sáth Khudá ‘ahd kartá hai
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Ps 26:1, 7-9, 13-14 Jamá‘ati jawáb áyat: 1
Jamá‘ati jawáb: Khudáwand merá núr aur merí naját hai
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Filippíon Ke Nám) Philippians 3:17-4:1
Masíh hamáre badanon ko badal kar apne jalálí badan kí súrat par banáegá

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Na‘rah-e Hamd: (Matí) Matthew 17:5
Núrání bádal men se Báp kí áwáz sunáí dí ki
Yih merá Beṭá hai “Al-Mahbúb”, is kí suno.

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas ke Lúqá mutábiq) Luke 9:28-36
Du‘á karte waqt Yisú‘ ke chihre kí súrat badal gayí
Us waqt Yisú‘ Patras aur Yúhanná aur Ya‘qúb ko sáth le kar ek paháṛ par du‘á karne gayá, aur us ke du‘á karte waqt us ke chihre kí súrat badal gayí aur us kí poshák safed barráq ho gayí. Aur dekho, do ádamí us se guftgú kar rahe the, yih Músá aur Iliyás the. Jo jalál men dikháí diye, aur us ke intiqál ká zikr karte the, jo Yarúshalem men hone ko thá. Magar Patras aur us ke sáthí nínd se bhare the, jab jáge to us ke jalál ko aur un ádamíon ko dekhá jo us ke sáth khaṛe the. Aur jab wuh us se judá hone lage to Patras ne Yisú‘ se kahá; Ai Ustád hamárá yahán honá achchhá hai: pas ham tín ḍere banáen ek tere liye, aur Músá ke liye, aur ek Iliyás ke liye: lekin wuh jántá na thá, ki kyá kahtá hai. Wuh yih kah hí rahá thá, ki bádal áyá aur un par sáya kiyá, aur in ke bádal menkhil hone par wuh ḍar gaye, aur bádal men se ek áwáz áí, ki “Yih merá Beṭá hai Al-Mahbúb, tum us kí suno”.  Aur áwáz áte hí Yisú‘ akelá páyá gayá, aur wuh chup rahe, aur unhon ne jo kuchh dekhá thá un dinon men kisí se kuchh na kahá.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Bakhsh de ki ham is pák qurbání ke zarí‘e
Apne gunáhon kí gandagí se pák sáf ho jáen
Apne ímándáron ko yih taufíq ‘atá kar
Ki wuh rúhání báton ko samajh kar
Pák dilí ke sáth Páshká kí ‘íd maná saken
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Matí) Matthew 17:5
Yih merá Beṭá hai Al-Mahbúb jis se main khush hún, is kí suno

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham is pák ‘ibádat men sharík ho kar
Is bát ke liye terá wájab shukr adá karná cháhte hain
Ki tú hamáre is zamín par rahne ke báwajúd
Abhí se hamen ásmán ke báshindon ke sáth hissa páne detá hai
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín
...
Podcast:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment