Tuesday, 31 July 2012
Can non-Catholic Christians receive communion in the Catholic Church?
Catholic Answers Senior Apologist Jimmy Akin explains why non-Catholics can only receive the Eucharist under very limited extra-ordinary circumstances.
http://www.catholic.com/
Friday, 27 July 2012
29th July 2012 - Seventeenth Sunday in Ordinary Time B
Sál ke daurán satrahwán Itwár (B)
Dákhilah (Entrance
Antiphon):
(Zabúr) Cf. Psalm
67: 6-7, 36
Khudá jo apne
pák maskan men rahtá hai
ya‘ní wuh Khudá jo bekason ko ghar men basátá hai
wuhí apne logon ko quwat aur táqat bakhshegá.
Readings
Pahlí Tiláwat:
(Dúsrá Mulúk) 2 Kings 4:42-44
Wuh kháenge aur un se bach bhí jáegá
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Zabúr: Psalm
144:10-11, 15-18 Jamá‘ati jawáb áyat: 16
Ai Khudáwand tú apne háth kholtá hai,
aur hamarí khwáhishen purí kartá hai.
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Ifisíon Ke Nám) Ephesians
4:1-6
Ek badan, ek Khudáwand, ek ímán, ek baptisma
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Hallelujah: cf. (Yúhanná) John 6:63, 68
Hallelujah Hallelujah
Ai Khudáwand
terí báten rúh hain
Aur
zindagí bhí hain:
hamesha
kí zindagí kí báten to tere hí pás hain.
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq) John 6:1-15
Yisú‘ ne wuh
roṭíyán lín aur uhen jo baiṭhe the jis qadr wuh
cháhte the bánṭ dín
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Pák Sharákat kí
áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) Ps 102:
2
Ai merí ján Khudáwand ko mubárak kah
aur us ke kisí ihsán ko farámosh na kar.
Or
(Matí) Mt 5: 7-8
Mubárak hain wuh jo rahmdil hain un par rahm kiyá
jáegá.
Mubárak hain wuh jo pákdil hain wuh Khudá
ko dekhenge.
....
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here
For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the
Sacred Page click here
Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary
Forms of the Rite at The Divine Lamp click here
Wednesday, 25 July 2012
Restless Heart: The Confessions of Augustine | Trailer
In this stirring and epic new film on the life of St. Augustine of Hippo, follow the great saint as he rises from his reckless days as a youth to his accomplishments as a renowned but dissolute orator. Though worldly success and riches come his way, including a position in the imperial court of Milan, satisfaction and peace elude him. It takes a confrontation with the Christian bishop Ambrose and the countless prayers offered by his patient mother, Monica, to break through his intellectual pride.
Starring Alessandro Preziosi, Monica Guerritore, Johannes Bandrup, and Franco Nero.
Coming Fall 2012. Find out more at www.RestlessHeartFilm.com
Saturday, 21 July 2012
22nd July 2012 - Sixteenth Sunday in Ordinary Time B
Sál ke daurán solahwán Itwár (B)
Dákhilah (Entrance
Antiphon):
(Zabúr) Cf. Psalm
53: 6, 8
Dekho Khudáwand merá madadgár hai.
Khudáwand merí
ján ká muháfiz hai.
Main khush dilí ke
sáth tere liye qurbáníán guzarúngá.
Ai Khudáwand main tere nám kí khúbíán
biyan karúngá.
Readings
Pahlí Tiláwat:
(Irmiyá nabí kí kitáb) Jeremiah 23:1-6
Main apne galle ká baqíya khud jama‘ karúngá
aur un par charwáhe muqarrar karúngá.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Zabúr 22(23): Psalm 22:1-6 Jamá‘ati
jawáb áyat: 1
Khudáwand merá
chaupán hai
mujhe koí kamí nahin
Khudáwand
merá chaupán hai mujhe kamí nahín.
Wuh mujhe harí
harí charágáhon men biṭhátá hai:
Wuh mujhe ráhat
kí nadíon ke pás le játá hai.
Wuh merí ján ko
bahál kartá hai
Khudáwand merá
chaupán hai
mujhe koí kamí nahin
Wuh mujhe apne
nám kí khátir
sidhí ráhon par le chaltá hai.
Agarchi main
táríkí kí wádí men guzaron,
Main
kisí áfat se na darúngá,
kyúnki
tú mere sáth hai:
Terá ‘asá aur
terí láṭhí
yih merí
tasallí ká bá‘is hain.
Khudáwand merá
chaupán hai
mujhe koí kamí nahin
Tú mere mukhálifon
ke rúbarú
mere áge dastarkhwán bichhátá hai:
Tú mere sir ko tel se maltá hai,
merá jám labrez hotá hai.
Khudáwand merá
chaupán hai
mujhe koí kamí nahin
Merí zindagí
ke tamám ayyám men
bhalái aur karam
mere sáth honge
Aur zamánon
kí darází tak.
Main Khudáwand
ke ghar men rahúngá.
Khudáwand merá
chaupán hai
mujhe koí kamí nahin
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Ifisíon Ke Nám)
Ephesians 2:13-18
Main Yisú‘ hamárí, sulh hai jis ne donon ko ek kar
diyá hai.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Hallelujah: (Yúhanná) John 10:27
Hallelujah Hallelujah
Khudáwand farmátá
merí bheṛen merí áwáz suntí hain
main unhen jántá hún
aur wuh mere píchhe píchhe átí hain.
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Marqus ke mutábiq) Mark 6:30-34
Wuh un bheṛon
kí mánind the, jin ká charwáhá na ho.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Pák Sharákat kí
áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) Ps 110:
4-5
Us ne apne ‘ajib kámon ko qábil-i yád ṭhahráyá hai
Khudáwand rahmán
aur rahím hai. Us ne apne ḍarnewálon ko khurák dí.
Or
(Mukáshafa) Rv 3: 20
Khudáwand farmátá
hai ki dekh main darwáze par khaṛá hún, aur khaṭkhaṭá
rahá hún.
Agar koí merí áwáz sune aur mere liye darwáza khole to main
us ke pás andar áúngá
aur ham mil kar shám ká kháná kháenge.
.....
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here
For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here
Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here
Thursday, 19 July 2012
Panjabi Zabur 1 (Dujá Wazan)
Hai kyá hí mubárak
oho ádmí, Mazmúr 1(Dujá Wazan)[i]
Hai kyá hí mubárak oho
ádmí,
Saláh de sharírán
dí chaldá nahín,
Na buráiyán de ráh
utte rahndá khaṛá,
Makhaulíán dí jhunḍḍi wich
na baiṭhdá.
Khudá dí sharí‘at de wich hai
magan,
Hai din rát ose dí ohnún lagan.
Oh os búṭe wángar hai rahndá hará,
Jo nahr de utte hai laggíá hoiá
Oh phal dendá hai apne wele se tí,
Na sukhdá koí ohdá pattar kadí.
Oh sab apne kámmán de wich hai bhalá,
Te rahndá-e phuldá te
phaldá sadá.
Ajehá nahín par
sharírán dá hál,
Oh uḍ jánde bho
uḍḍá jíún wá de nál.
‘Adálat de thán
na khalowán badkár,
Na bad othe ṭhairán jithe hon
sachchiár.
Khudá sachcháiyán dá hai ráh jándá,
Sharírán dá ráh
nás ho jáwegá.
In Shahmukhi Script
Revised Version
Hai kyá hí mubárak
oho ádmí, Mazmúr 1(Dujá Wazan)
Hai kyá hí Mubárak oho
ádmí,
Saláh de sharírán
dí chaldá nahín,
Na buráiyán de ráh
utte rahndá khaṛá,
Makhaulí dí jhunḍḍi wich na
baiṭhdá.
Sharí‘ wich yahowáh dí hai oh magan,
Hai din rát ose dí ohnún lagan.
Oh os búṭe wángar hai rahndá hará,
Jo nahrán de utte hai laggíá hoiá
Oh phal dendá hai apne wele se tí,
Na sukhdá koí ohdá pattar kadí.
Oh sab apne kámmán
de wich hai bhalá,
Te rahndá-e phuldá te phaldá sadá.
Ajehá nahín par sharírán dá hál,
Oh uḍ jánde bho uḍḍá jíún wá de nál.
‘Adálat de thán na khalowán badkár,
Na bad othe
ṭhairán jithe hon sachchiár.
Khudá sachcháiyán dá hai ráh jándá,
Sharírán dá ráh nás ho jáwegá.
-----
To download Pdf click here
[i]
(Zabúr)Ps 1.1-6, From the Punjabi metrical Psalter translated and composed by Rev. Dr. Imam Din Shahbaz (1885 - 1921)
Tuesday, 17 July 2012
Friday, 13 July 2012
15th July 2012 - Fifteenth Sunday in Ordinary Time B
Sál ke daurán pandarahwán Itwár (B)
Dákhilah (Entrance
Antiphon):
(Zabúr) Cf.
Ps 16:15
Main sadáqat men terá dídár hásil karúngá
aur jágte húe tere hazúr ser húngá.
Readings
Pahlí Tiláwat:
(‘Ámús nabí kí kitáb) Amos 7:12-15
Já aur merí ummat ke liye nubuwwat kar
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Zabúr: Psalm 84:9-14 Jamá‘ati
jawáb áyat: 8
Ai Khudáwand apní shafaqat hamen dikhá
aur apní naját hamen bakhsh
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Ifisíon Ke Nám) Ephesians
1:3-14
Khudá ne biná e ‘álam se peshtar hamen chun liyá.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Hallelujah: cf. (Yúhanná) John 6:63, 68
Hallelujah Hallelujah
Ai Khudáwand terí báten rúh hain
Aur zindagí bhí hain:
hamesha kí zindagí kí báten to tere hí pás hain.
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Marqus ke mutábiq) Mark 6:7-13
Yisú‘ ne shágirdon
ko báhir bhejná shurú‘ kiyá.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Pák Sharákat kí
áyat (Communion Antiphon):
cf: (Zabur) Psalm: 83:4-5)
cf: (Zabur) Psalm: 83:4-5)
Chiṛiyá ko bhí ṭhikána miltá hai
aur abábíl ko ghonslá jahán apne bachchon
ko rakkhe
yani tere mazbahon ke pás ai Rabb u’l afwáj, ai mere bádsháh
aur ai mere Khudá
mubárak hain wuh jo tere ghar men rahte hain
wuh to hamesha terí sitáish karte hain.
Or
(Yúhanná ) John 6: 57
Khudáwand
farmátá hai ki jo merá gosht khátá aur merá khún pítá hai,
wuh mujh men qáim rahtá hai, aur main us men.
----
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here
For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the
Sacred Page click here
Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary
Forms of the Rite at The Divine Lamp click here
Wednesday, 11 July 2012
Saturday, 7 July 2012
8th July 2012 - Fourteenth Sunday in Ordinary Time B
Sál ke daurán chaudhwán Itwár (B)
Dákhilah (Entrance
Antiphon):
(Zabúr) Cf.
Ps 47: 10-11
Ai Khudá terí haikal ke andar terí shafaqat ko yád karte
hain. Ai Khudá tere nám kí mánind terí ta‘rif bhí zamín kí
intihá tak pahunchtí hai.
Readings
Pahlí Tiláwat:
(Hizqiál nabí kí kitáb) Ezekiel 2:2-5
Yih sarkash aur sakhtdil farzand hain, wuh ján lenge
ki un ke darmiyán ek nabí hai.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Zabúr: Psalm 122:1-5 Jamá‘ati
jawáb áyat: 2
Hamarí ánkhen Khudáwand par lagí hain
jab tak wuh ham par rahm na farmáe.
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Dúsrá Khatt Qurinthíon Ke Nám) 2
Corinthians 12:7-10
Main apní kamzoríon par fakhr karúngá,
táki Masih kí qudrat mujh men rahe.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Hallelujah: cf. (Yúhanná) John 1:14, 12
Hallelujah Hallelujah
Kalma mutajassad húá, aur ham men sukúnat pazir húá.
Jinhon ne use qabúl kiyá.
Us ne unhen iqtidár bakhshá ki Khudáwand
ke farzand banen.
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Marqus ke mutábiq) Mark 6:1-6
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Pák Sharákat kí
áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) Ps 33:
9
Chakho aur dekho Khudáwand kaisá bhalá hai, mubárak hai
wuh ádmí jo us kí panáh letá hai.
Or
(Matí) Mt 11: 28
Khudá farmátá
hai ki, ai sab thake mándo, aur bojh se dabe húe mere pás áo, main
tumhen árám dúngá.
....
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here
For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday
readings check out the Sacred Page click here
Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and
Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here
Subscribe to:
Posts (Atom)