Thursday, 22 February 2018

Mazmúr 1 (Haqíqí khúsh-hálí)




1 Mubárak wuh hai ádmí
jo sharíron kí saláh par nahín chlatá,
aur khatákáron kí ráh men qadam nahín rakhtá
Aur na t̟hat̟t̟hábázon kí majlas hí men bait̟htá hai

2 Balki jis kí musarrat Khudáwand kí sharí‘at men hai
Aur jo din rát usí ki par sharí‘at dhiyán lagátá hai.

3 Wuh us darakht kí mánind hai
Jo pání kí nahron ke pás lagáyá gayá hai
Jo apne waqt par phal detá hai
Jis ke patte nahín murjháte
Jo kuchh wuh kartá hai, kámyáb hotá hai.

4 Sharír aise nahín, hargiz aise nahín
Balki wuh bhúse kí mánind  hain jise hawá ur̟á le játí hai

5 Is liye sharír ‘adálat men qáim na rahenge
Aur na khatákár sádiqon kí jamá‘at hí men

6 Kyúnki Khudáwand sádiqon kí ráh pahchántá hai,
Par sharíron kí ráh nábúd ho jáegí.

-------