Friday, 4 November 2016

32nd Sunday in Ordinary Time C

32nd Sunday in Ordinary Time

Sál ke daurán battíswán Itwár (C)

khilah (Entrance Antiphon):
Cf. (Zabúr) Psalm 87:3
Ai Khudáwand merí du‘á ko apne hazúr men pahunchne de.
Mere chilláne par apne kán lagá.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Qádir I Mutlaq aur rahím Khudá
Apná karam dikhá kar har áfat ham se dúr kar de
Táki ham jism aur rúh, donon ke liház se taiyár ho kar
Farákh-dilí[1] ke sáth tere kámon men mashg̣húl rahen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hain. Ámín.

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Makábbíon kí dúsrí kitáb) 2 Maccabees 7:1-2.9-14
Shah i kaunaín[2] hamen abdí zindagí ke liye zinda karegá

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Responsorial Psalm:
Zabúr: Psalm 16:1, 5-6, 8, 15 Jamá‘ati jawáb áyát: 15
Jamá‘ati jawáb áyát: Ai Khudáwand main tere dídár ser húnge

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl ká dúsrá Khatt Tassáluníkíon ke nám) 2 Thessalonians 2:16-3:5
Khudáwand tumháre dilon ko har ek nek kám aur kalám men mazbút kare

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Gospel Acclamation
Hallelujah: (Lúqá) Luke 21:36
Hallelujah, Hallelujah
Jágte raho, aur har waqt du‘á karte raho
Táki tum Ibn i Insán ke sámne khaṛe hone ke láiq ṭhaharo
Hallelujah
Or
Hallelujah: (Mukáshafa) Rev 1:5, 6
Hallelujah, Hallelujah
Yisú‘ Masíh murdon men se pahlauṭhá hai
Usí ko jalál aur qudrat abadu’l ábád tak hasil hai.
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 20:27-38
Wuh murdon ká Khudá nahín, balki zindon ká hai

Ek din Sádúqíon men se, jo qiyámat ke munkar hain ba‘iz ne, pás á kar us se suwál kar ke kahá, ki Ai ustád, Músá ne hamáre liye likhá hai, ki Agar kisí ká biyáhá húá bháí beaulád mar jáe, to us ká bháí us kí bíwí ko biyáh men le,, aur apne bháí ke liye nasl paidá kare. Pas sát bháí the : pahle ne bíwí kí aur beaulád mar gayá, phir dúsre ne, aur tísre ne bhí use liyá, aur isí tarah un sáton ne, aur sab beaulád mar gaye. Ákhir ko wuh aurat bhí mar gayí. Pas qiyámat men un men se, wuh kis kí bíwí hogí? kyúnki wuh sáton kí bíwí rah chukí thí. Yisú‘ ne un se kahá, ki Is ‘álam ke farzand biyáh karte, aur biyáhe játe hain: Lekin jo log is láiq ṭhaharenge, ki is ‘álam aur murdon men se jí uṭhne ke sharík hon, wuh na biyáh karenge aur na biyáhe jáenge. Kyúnki wuh phir marne ke nahín: is liye ki wuh firishton kí mánind honge; aur qiyámat ke farzand ho kar, Khudá ke bhí farzand honge. Aur murdon kí qiyámat ke báre men Músá ne bhí jháṛí ke zikr men ishára kiyá; chunánchi wuh Khudáwand ko Ibráhím ká Khudá, aur Isháq ká Khudá, aur Ya‘qúb ká Khudá kahtá hai. Magar Khudá murdon ká nahín, balki zindonKhudá hai: kyúnki us ke nazdík sab zinda hain.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham tujh se minnat karte hain
Tú hamáre in nazránon se rází ho kar
‘ináyat farmá ki
Ham tere piyáre Beṭ eke dukhon kí yád men
Yih niháyat Pák ‘ibádat
Baṛí ‘aqídat aur garm-joshí ke sáth ‘amal[3] men láen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
Cf. (Zabúr) Psalm 22:1-2
Khudáwand merá chaupán hai, mujhe kamí nahín.
Wuh mujhe harí harí charágáhon men biṭhátá hai:
Wuh mujhe ráhat kí nadíon ke pás le játá hai.
OR
(Lúqá) Luke 24:35
Shágirdon ne roṭí toṛne ke waqt Khudáwand Yisú‘ ko pahcháná.

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáe Qádir
Ham terí Pák ni‘mat pá kar terá shukr bajá láte hain
Aur ham tujh rahím Khudáwand se iltijá karte hain
Ki tú Rúhu’l Quds ham par názil farmá
Us kí iláhí qudrat se
Ham men haqíqí dín-dárí ká fazl qáim rakh
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.



[1] Generosity
[2] Kaunain: the world and the Hereafter
[3] Practice, action


No comments:

Post a Comment