Sunday, 24 November 2013

Hamáre Khudáwand Yisú‘ Masíh kul káinát ke Bádsháh kí ‘Id


Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 23:35-43
Ai Khudáwand jab tú apní bádsháhí men áe to mujhe yád rakhná

Us wqat log khaṛe dekh rahe the. Aur sardár bhí jo ṭhaṭṭhe már már kar kahte the, ki is ne auron ko bacháyá; agar yih Khudá ká maqbúl Al-Masih hai, to apne áp ko bacháe. Aur sipáhíon ne bhí us par hansí kí, aur pás já kar aur use sirka de kar kahá, agar tú Yahúdíon ká Bádsháh hai, to apne áp ko bachá.
Aur us ke upar Yúnání, Látíní, aur ‘Ibrání harúf men ek kitábah lagáyá gayá thá, ki “Yih Yahúdíon ká Bádsháh hai.”
Aur ek un badkáron men se, jo salíb par laṭkáe gaye the, use ta‘na de kar bolá ki kyá tú Al-Masíh nahín? To phir apne áp ko aur hamen bhí bachá: Lekin dúsre ne jhiṛk kar jawáb men kahá, kyá tú ab bhí Khudá se nahín ḍartá? hálánki usí sazá men giriftár hai. Aur hamárí sazá to wájibí hai, kyúnki ham apne kámon ká khamyázah uṭhá rahe hain, magar is ne to koí badí nahín kí. Aur us ne kahá, Ai Yisú‘ jab tú apní bádsháhí men áe, to mujhe yád karná. Aur Yisú‘ ne us se kahá, Main tujh se sach kahtá hún, ki Aj hí tú mere sáth Firdaus men hogá.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.

Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

No comments:

Post a Comment