Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke
23:35-43
Ai Khudáwand jab tú apní bádsháhí men áe to
mujhe yád rakhná
Us wqat log khaṛe dekh rahe the. Aur sardár bhí jo
ṭhaṭṭhe már már kar kahte the, ki is ne auron ko bacháyá; agar yih Khudá
ká maqbúl Al-Masih hai, to apne áp ko bacháe. Aur sipáhíon ne bhí us
par hansí kí, aur pás já kar aur use sirka de kar kahá, agar tú Yahúdíon ká
Bádsháh hai, to apne áp ko bachá.
Aur us ke upar Yúnání, Látíní, aur ‘Ibrání
harúf men ek kitábah lagáyá gayá thá, ki “Yih Yahúdíon ká
Bádsháh hai.”
Aur ek un badkáron men se, jo salíb
par laṭkáe gaye the, use ta‘na de kar bolá ki kyá tú Al-Masíh nahín?
To phir apne áp ko aur hamen bhí bachá: Lekin dúsre ne jhiṛk kar
jawáb men kahá, kyá tú ab bhí Khudá se nahín ḍartá?
hálánki usí sazá men giriftár hai. Aur hamárí sazá to
wájibí hai, kyúnki ham apne kámon ká khamyázah uṭhá
rahe hain, magar is ne to koí badí nahín kí. Aur us ne kahá,
Ai Yisú‘ jab tú apní bádsháhí men áe, to mujhe yád karná. Aur
Yisú‘ ne us se kahá, Main tujh se sach kahtá hún, ki Aj hí tú
mere sáth Firdaus men hogá.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.