Sál ke daurán aṭháíswán Itwár (C)
Dákhilah (Entrance Antiphon):
(Zabúr) Psalm 129: 3-4
Ai Khudáwand, agar tú badíon ká yád rakhnewálá
hotá
to ai Khudáwand kaun ṭhahregá.
Kyúnki ai Isráíl ke Khudá, tere pás gunahon
kí maghfirat hai.
Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Bakhsh de ki terá fazl hamesha hamáre áge áge
Aur hamáre píchhe píchhe chaltá rahe
Níz nek kám karne ke liye
Hamen sadá garm-josh banáe rakhe
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín
Readings
Pahlí Tiláwat:
(Mulúk kí dúsrí kitáb) 2 Kings 5:14-17
Na‘mán wápas Ilísah ke pás áyá, aur Khudáwand ko
qabúl kiyá
Pák
kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Responsorial Psalm:
Zabúr: Psalm 97:1-4
Jamá‘ati jawáb áyat: 2
Jamá‘ati jawáb: Khudáwand ne apní naját qaumon par
munkashif kí hai
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl ká dúsrá khatt Timutáús ke
nám) 2 Timothy 2:8-13
Agar ham wafádár hain, to Masíh ke sáth bádsháhí karenge
Pák
kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at:
Khudá ká shukr ho.
Gospel Acclamation
Hallelujah: cf. (Yúhanná) John
6:63,68
Hallelujah Hallelujah
Ai Khudáwand terí báten rúh hain
Aur zindagí bhí hain:
hamesha kí zindagí kí báten to tere hí pás hain.
Hallelujah
Yá
Hallelujah: (1Tassáluníkíon)
1 Thess 5:18
Hallelujah Hallelujah
Har ek bát men shukrguzárí karo,
Kyúnki Masíh Yisú‘ men tum sab kí bábat Khudá
kí yihí marzí hai.
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke
17:11-19
Kyá is
pardesí ke siwá koí aur na páyá gayá jo Khudá kí tamjíd kartá?
Ek din aisá húá, ki jab wuh Yarúshalem ko játá thá,
to Sámariya aur Jalíl ke bích se ho kar já rahá thá. Aur jab wuh ek gánw
men dákhil hone lagá to das mabrús ádamí use mile, wuh kuchh fásile par khaṛe ho gaye: aur áwáz buland kar
ke bole, ki Ai Yisú, Ai ustád, ham par rahm kar. Us ne dekh kar, un se kahá,
ki Jáo, apne áp ko káhinon ko dikháo. Aur aisá húá, ki wuh játe játe
pák sáf ho gaye.
Un
men se ek ne jab dekhá, ki main ne shifá páí hai, to buland
áwáz se Khudá ki tamjíd kartá húá lauṭá, aur us ká shukr kartá
húá us ke qadmon par munh ke bal girá, aur wuh Sámarí thá.
Yisú‘ ne khitáb kar ke kahá, ki Kyá dason pák sáf na húe? phir
wuh nau kahán hain ? Kyá is pardesí ke siwá aur na páe gaye jo
lauṭ kar Khudá kí tamjíd karte? Aur us ne us se kahá, Uṭh kar chalá
já: tere ímán ne tujhe bacháyá hai.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf
kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Qurbání ke in nazránon ke sáth hí
Apne logon kí du‘aen qabúl farmá
Ham tere kahe par ‘aqídat ke
sáth
Yih Pák ‘ibádat adá karte hain
‘ináyat kar ki ham in ke zarí‘a
Ásmání jalál men sharík hone páen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Pák Sharákat kí áyat (Communion
Antiphon):
(Zabúr) Psalm 33:11
Amír gharíb ban kar bhúke húe
Par Khudá ke tálib kisí bhí ni‘mat ke muhtáj nahín honge.
OR
(1 Yúhanná) 1 John 3:2
Jab hamárá Khudáwand záhir hogá to ham bhí us kí
mánind honge
kyúnki ham use waisá hí dekhenge jaisá wuh hai.
Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á
Ai Khudáwand, hamáre Khudá
Ham tujh ‘azím Khudáwand se
‘ájizí ke sáth yih iltijá karte hain
Bakhsh de ki
Jis tarah ham Pák Sharákat le kar
Tere Beṭe ke Pák Badan aur Khún se parwarish páte hain
usí tarah is kí iláhí zát men shirkat karen
tere sáth
hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hain. Ámín.
---
Podcasts:
For
Sermon by Fr. Robert Barron click here
For
reflection by Dr. Scott Hahn click here
For
commentary by Dr. Michael Barber on Sunday readings check out the Sacred Page
click here
Some
great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite
at The Divine Lamp click here
No comments:
Post a Comment