Thursday, 29 March 2018

Friday of the Passion of the Lord

Mubárak Jum‘a


Ai Báp, Main apní rúh tere háthon men saunptá hún. Lúqá 23:46



Readings
Pahlí Tiláwat: 
(Isha‘yá  nabí ká sahífa) Isaiah 52:13-53: 12
Wuh hamárí khatáon ke sabab se chhedá gayá


Zabúr:
(Zabúr ) Psalm 30: 2. 6. 12-13. 15-17. 25. r. (Lúqá) Lk 23: 46
Jamá‘atí jawáb : Ai Báp, Main apní rúh tere háthon men saunptá hún.

Ai Khudáwand main terí panáh letá hún
Mujhe kabhí sharminda na hone de:
Apní sadáqat kí khátir mujhe naját de
Main apní rúh tere háthon men saunptá hún;
Ai Khudáwand Khudáe sádiq tú mujhe bacháegá

Ai Báp, Main apní rúh tere háthon men saunptá hún.

Main apne dushmanon ke áge bá‘is malámat
Apne hamsáyon ke nazdík nishána-e tazhík
Aur apne jánpahchánon ke liye khauf ká bá‘is baná

Ai Báp, Main apní rúh tere háthon men saunptá hún.

Wuh jo mujhe báhir dekhte hain mujh se dúr bhágte hain
Main murde kí mánind dil se farámosh kar diyá gayá hún
Main ṭúṭe húe bartan kí tarah ho gayá hún

Ai Báp, Main apní rúh tere háthon men saunptá hún.

Main ai Khudáwand tujh par tawakkul kartá hún
Main kahtá hún ki tú hí merá Khudá hai
Merá anjám tere háth men hai
Mujhe mere dushmanon kí girift se chhuṛá

Ai Báp, Main apní rúh tere háthon men saunptá hún.

Apne khádim par apná chihra jalwagar farmá
Apní shafaqat se mujhe bachá le
Tum sab jo Khudáwand par tawakkul karte ho
Mazbút ho, aur tumhárá dil báhimmat rahe.

Ai Báp, Main apní rúh tere háthon men saunptá hún.


Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt ‘Ibráníon ke nám) Heb 4:14-16; 5:7-9     

Us ne dukh uṭhá uṭhá kar farmánbardárí síkhí, aur apne sab farmánbardáron ke liye abadí naját ká bá‘is ṭhahrá.

Gospel Acclamation
Na‘rah-e Hamd: (Filippíon) Phil 2:8-9
Ai Masíh terá jalál aur terí sitáish ho

Masíh ne apne áp ko farotan kar diyá,
aur maut balki salíbí maut tak farmánbardár rahá,
aur isí wáste Khuhá ne use niháyat buland kiyá,
aur use wuh nám bakhshá jo har ek nám se a‘lá hai.

Ai Masíh terá jalál aur terí sitáish ho

Injíl I Muqaddas:
Hamáre Khudáwand Yisú‘ Masíh kí su‘úbaton ká tazkirah
Muqaddas Yúhanná Rasúl kí Injíl ke mutábiq John 18:1 - 19:42

.......


Why Is Good Friday Good? This is the most common question, especially around this time. Find out why here and here.
In Urdu it is called Mubárak which means Blessed.

For The Seven Last Words Of Jesus Christ From The Cross (Salíbí Kalamát) click here

Sunday, 18 March 2018

Kyá túne mere Khudáwand ko maslúb dekhá hai?

کیا تو نے میرے خُداوند کو مصلوب دیکھا ہَے؟





Kyá túne mere Khudáwand ko maslúb dekhá hai?
Us ke khún ká qatrah qatrah bahate dekhá hai?

Salíb pah háth us ke pasáre gaye
Háth páon men kíl us ke gáṛe gaye
Kis karb se guzrá wuh us ko kyá túne  dekhá hai?

Salíb ke pás ghamzada má khaṛí rotí thí
Beṭe ko dekh dekh kar wuh áhain bhartí thí
Kyá ghamzada má ko túne rote dekhá hai?

Jánkaní kí hálat men jab maslúb chilláyá
Dhartí kámpí súraj ne apná munh chhupáyá
Kyá zulm ke áge súraj ko kabhí chhupte dekhá hai?

Jis ne ján fidá kí ham pah wuh mohsin kaisá hai
Dushman se bhí piyár kare wuh us ká piyár kaisá hai?
Kyá aisá piyár anokhá túne pahle dekhá hai?