Tuesday 30 April 2013

Holy Mass in Urdu on Sunday, 5th May 2013

Sixth Sunday of Easter C
Páshká ká chhaṭhá Itwár

Christ Church, Carr Rd, Nelson BB9 7EN
Sunday, 5th May  2013
Time: 3 pm


The Mass is followed by the sharing of a meal together. Everyone is welcome.

Holy Mass in Urdu every first Sunday of the month at 3pm

Friday 26 April 2013

28th April 2013, 5th Sunday of Easter C



Páshká ká páchwán Itwár C

khilah (Entrance Antiphon): Cf. (Zabúr) Ps 97: 1-2
Khudáwand ke liye nayá gít gáo
kyúnki us ne ‘ajíb kám kiye hain.
Us ne g̣hair qaumon ke rú ba rú apná ‘adl záhir kiyá hai.
Hallelujah

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Rahím Khudá
Terí taraf se ham mukhlasí páte
Aur tere le-pálak farzand bante hain
Apne piyáre farzandon par karam kí nazar kar
Táki ham Masíh par ímán lá kar
tujh se haqíqí ázádí aur hamesha kí zindagí páen
Masíh hamáre Khuáwand ke wasile se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdaniyyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur saltanat kartá hai. Ámín

Readings
Pahlí Tiláwat:  
(Rasúlon ke A‘mál) Acts 14:21-27
Unhon ne kalísiyá men bayán kiyá ki Khudá ne hamáre sáth kyá kuchh kiyá

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Zabúr: Psalm 144:8-13 Jamá‘ati jawáb áyat: 1
Jamá‘ati jawáb: Ai mere Khudá Bádsháh main abadu’l ábád tak tere nám ko mubárak kahtá rahúngá.
or
Hallelujah!

Dusrí Tiláwat:
(Mukáshafa) Revelation 21:1-5
Khudá un kí ánkhon se tamám ánsú ponchh degá

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: (Yúhanná) Jn13:34
Hallelujah, Hallelujah,
Yisú‘ ne kahá main tumhen ek nayá hukm detá hún,
Ki ek dúsre ko piyár karo, jaisá main ne tum ko piyár kiyá.
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq) John 13:31-35
Main tumhen ek nayá hukm detá hún, ki ek dúsre ko piyár karo.

Us waqt jab Yahúdáh báhar chalá gayá, to Yisú‘ ne kahá, ki ab Ibn i Insán ne jalál páyá hai, aur Khudá ne us men jalál páyá hai, aur jab ki Khudá ne us men jalál payá hai, to Khudá use bhí apne men jalál degá, balki use fi’lfaur jalál degá. Ai bachcho! Main aur thoṛí der tek tumháre sáth hún. Tum mujhe ḍhúnḍoge, aur jaisá ki main ne Yahúdíon se kahá, ki jahán main játá hún, tum nahín á sakte, waisá hí ab main tum se bhí kahtá hún. Main tumhen ek nayá hukm detá hún, ki ek dúsre ko piyár karo; jaisá main ne tum ko piyár kiyá, tum bhí aisá hí ek dusre ko piyár karo. Agar tum ek dúsre ko piyár karoge, to is se sab jánenge ki tum mere shágird ho.   

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai piyáre Khudá
Tú is qurabání kí Pák ‘ibádat ke zarí‘e
Hamen apní wáhid aur a‘la iláhí zát men sharík kar letá hai
‘ináyat kar ki ham terí sacháí ko jánte húe
Láiq chál chalen se use apnáen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín. 

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): Cf. (Yúhanná) Jn 15: 1, 5
Khudáwand farmátá hai: haqíqí ták mainn, tum ḍáliyán ho, jo mujh men rahtá hai aur main us men, wuh bahut phal látá hai. Hallelujah

Pák Sharákat ke ba‘d kí du‘á
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Mihrbaní se apne logon kí madad kar
Tú ne ásmán kí besh qímat ni‘maton se hamen ma‘múr kiyá hai
Bakhsh de ki ham purání zindagí chhoṛ kar naí zindagí ikhtiyár kar len.
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Podcast:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

Friday 19 April 2013

21st April 2013, 4th Sunday of Easter C


Páshká ká Chauthá Itwár C

khilah (Entrance Antiphon): Cf. (Zabúr) Ps 32: 5-6
Zamín Khudá kí shafaqat se ma‘múr hai.
Ásmán Khudá ke kalme se banáyá gayá.
Hallelujah

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Qádir i Mutlaq Khudá
Hamen ásmání khushíon ke mulk men le já
Táki terá g̣haríb gallah wahán pahúnche
Jahán us ká hoshyár aur wafádár Chaupán us ke áge áge chalá
Aur ab tere sáth Rúhu’l Quds kí wahdaniyyat men Khudá hote húe
Hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur saltanat kartá hai. Ámín

Readings
Pahlí Tiláwat:  
(Rasúlon ke A‘mál) Acts 13:14, 43-52
Ham g̣hair qaumon kí taraf mutawajjih hon.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Zabúr: Psalm 99:1-3, 5. Jamá‘ati jawáb áyat: 3
Jamá‘ati jawáb: Ham us kí ummat aur us kí charágáh kí bheṛen hain.
or
Hallelujah!

Dusrí Tiláwat:
(Mukáshafa) Revelation 7:9, 14-17
Barra un kí gallabání karegá aur un ko áb-i-hayát ke chashmon tak pahuncháegá

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: cf. (Yúhanná) Jn10:14
Hallelujah, Hallelujah,
Khudáwand farmátá hai: Achchhá charwáhá mainn,
Main apní bheṛon ko jántá hún, aur wuh mujhe jántí hain
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq) John 10:27-30
Main apní bheṛon ko hamesha kí zindagí bakhshtá hún.

Us waqt Yisú‘ ne kahá: merí bheŕen merí áwáz suntí hain,
aur main unhen jántá hún, aur wuh mere píchhe píchhe chaltí hain;
aur main unhen hamesha kí zindagí bakhshtá hún;
aur wuh abad tak kabhí halák na hongí,
aur koí unhen mere háth se  chhín na legá.
Jo mere Báp ne mujhe diyá hai, wuh sab se baṛá hai,
aur koí mere Báp ke háth se chhín nahín saktá.
Main aur Báp ek hain.

Injíl i Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand, hamáre Khudá
Bakhsh de ki ham hamesha
Apne áp ko in páshkáí rasmon ke sabab khush qismat jánen
Táki hamárí khushí kí lagátár asar
Hamárí hamesha kí zindagí ká sabab ho
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.


Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
Nek Chaupán apní bheṛonkhátir ján de kar
aur apne galle ke liye maut saih kar
murdon men se zinda húá

Pák Sharákat ke ba‘d kí du‘á
Ai nek Chaupán
Mihrbání se apne galle kí nigahbání kar
Tere Beṭe ne apná besh qímat khún bahá kar
bheṛon ko bachá liyá
Apne karam se in ko dáimí charágáhon men le já
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín
...
Podcast:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

Friday 12 April 2013

14th April 2013, 3rd Sunday of Easter C


Páshká ká Tísrá Itwár C

khilah (Entrance Antiphon): (Zabúr) Ps 66:1-2
Ai kull mulko! Khudá ke liye Khushí ka na‘ra máro.
Us ke nám ke jalál ká gít gáo,
Hamd karte húe us kí ta‘ríf karo.
Hallelujah

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai mihrbán Khudá
‘atá kar ki terí ummat rúhání táza zindagí pá kar
Har waqt khush rahe
Táki ab wuh le-pálak hone kí shán kí bahálí ke sabab khushí ho
Aur shukrguzárí ke sáth jí uṭhne kí púrí ummed rakh saken
Masíh hamáre Khuáwand ke wasile se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdaniyyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur saltanat kartá hai. Ámín

Readings
Pahlí Tiláwat:  
(Rasúlon ke A‘mál) Acts 5:27-32, 40-41
Ham sab aur Rúhu’l Quds in sab báton ke gawáh hain.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 29:2, 4-6, 11-13. Jamá‘ati jawáb áyat: 2
Jamá‘ati jawáb:
Ai Khudáwand main terí ta‘jím karúnga,
kyúnki tú ne mujhe chhuṛáyá hai.
or
Hallelujah, Hallelujah, Hallelujah
Dusrí Tiláwat:
(Mukáshafa) Revelation 5:11-14
Barra jo Zabh kiyá gayá, wuh daulat aur qudrat ke láiq hai.
                                             
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

(Gospel Acclamation)
Hallelujah: cf. (Lúqá) Luke 24:32
Hallelujah, Hallelujah,
Ai Khudáwand Yisú‘, jab tú ham se báten kare,
To ham par nawishton ko munkashif  kar,
Hamáre dilon ko purjosh baná.
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq ) John 21:1-19
Yisú‘ áge áyá aur roṭí le kar un ko dí, isí tarah machhlí bhí.

Us waqt Yisú‘ ne phir apne áp ko tabáriyá kí jhíl ke kináre shágirdon par záhir kiyá, aur is tarah záhir kiyá. Shama‘ún Patras aur Tomá ‘urf Didumús aur Qáná e Jalíl ká Nathan’el aur Zabdí ke beṭe, aur us ke do aur shágird ikaṭṭhe the. Shama‘ún Patras ne un se kahá; ki main machhlí ke shikár ko játá hún. Unhon ne us se kahá ham bhí tere sáth chalte hain, pas wuh nikal kar kishtí par chaṛhe, magar us rát kuchh na pakṛá. Aur subh húí to Yisú‘ kináre par á khaṛá húá, lekin shágirdon ne na pahcháná ki yih Yisú‘ hai. Tab Yisú‘ ne un se kahá, ai naujawáno, kyá tumháre pás kuchh kháne ko hai? Unhon ne use jawáb diyá ki nahín. Us ne un se kahá kishtí kí dahiní taraf jál ḍálo, to tum páoge. Pas unhon ne ḍálá aur machhliyon kí kasrat ke sabab se khench na sake. Tab us shágird ne jise Yisú‘ piyár kartá thá, Patras se kahá; ki yih to Khudáwand hai, pas Shama‘ún Patras ne yih sun kar ki Khudáwand hai, chug̣hah kamar se bándhá (kyúnki chár-jámah thá),  aur  jhíl men kúd paṛá. Aur báqí shágird machhliyon ká jál khenchte húe kishtí par áe (kyúnki wuh kináre se kuchh dúr na the, balki taqríban do sau háth ká fásila thá).
  Pas, júnhí kináre par utre, to unhon ne koelon kí ág, aur us par machhlí rakkhí húí dekhí aur roṭí bhí. Yisú‘ ne un se kahá un machhliyon men se láo jo tum ne abhí pakṛí hain. Shama‘ún Patras ne chaṛh kar jál kináre parr khenchá, yih ek sau trepan baṛí baṛí machhliyon se bhará húá thá, magar báwujúd is ke ki itní thín jál na phaṭá. Yisú‘ ne un se kahá; áo, náshta kar lo. Shágirdon men se kisí ko jur’at na húí ki us se púchhte ki tú kaun hai? Kyúnki wuh jánte the, ki Khudáwand hí hai. Yisú‘ áyá aur roṭí le kar unhen dí. Isí tarah machhlí bhí. Yih tísrí martaba thá ki Yisú‘ murdon men se jí uṭhne ke ba‘d shágirdon ko dikháí diyá.
  Aur jab wuh náshta kar chuke, to Yisú‘ ne Shama‘ún Patras se kahá; ai Shama‘ún bar Yuná, kyá tú in se ziyáda mujhe piyár kartá hai? Us ne us se kahá ki hán, ai Khudáwand tú to jántá hí hai, ki main tujhe piyár kartá hún. Us ne us se kahá, ki tú mere barre chará. Us ne dobára us se kahá, ai Shama‘ún bar Yuná, kyá tú mujhe piyár kartá hai? us ne us se kahá ki tú to jántá hí hai, ki main tujhe piyár kartá hún. Us ne us se kahá, ki tú  merí chhoṭí bheṛon kí gallabání kar. Us ne seh bára us kahá, ki ai Shama‘ún bar Yuná, kyá tú mujhe piyár kartá hai? Aur us se kahá ki ai Khudáwand tú to sab kuchh jántá hai, tujhe ma‘lúm hí hai, ki main tujhe piyár kartá hún. Yisú‘ ne us se kahá ki tú merí bheṛen chará.
  Main tujh se sach sach kahtá hún, ki jab tak tú jawán thá áp apní kamar bándhtá thá, aur jahán kahín cháhtá thá játá thá, magar jab tú búṛhá hogá to apne háthon ko phailáegá, aur dúsrá terí kamar bándhegá, aur wahán le jáegá jahán tú na cháhe. Us ne in báton se ishára kiyá, ki wuh kis tarah kí maut se Khudá ká jalál záhir karegá. Aur yih kah kar us se kahá, ki mere píchhe ho le.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand, hamáre Khudá
Apní shádmán kalísiyá ke nazráne qabúl farmá
Tú ne use baṛí khushí manáne ká mauqa‘ bakhshá hai
‘ináyat kar ki us ke farzand
Hamesha kí khushí ká lutf uṭhaen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): (Yúhanná) John 21:12-13
Khudáwand Yisú‘ ne apne Shágirdon se kahá ki: Áo náshta kar lo
aur us ne roṭí lekar unhen dí. Hallelujah

Pák Sharákat ke ba‘d kí du‘á
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Apne bandon par rahm kí nigáh kar
Tú ne mihrbán ho kar Pák Sákráminṭon ke zarí‘e hamen nayá kar diyá hai
Ab hamen jalál ke sáth jí uṭhne aur zindagí hásil karne kí taufíq de
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín

...
Podcast:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here