Tuesday 31 July 2012

Can non-Catholic Christians receive communion in the Catholic Church?


Catholic Answers Senior Apologist Jimmy Akin explains why non-Catholics can only receive the Eucharist under very limited extra-ordinary circumstances.


http://www.catholic.com/

Friday 27 July 2012

29th July 2012 - Seventeenth Sunday in Ordinary Time B



Sál ke daurán satrahwán Itwár (B)

khilah (Entrance Antiphon):
 (Zabúr) Cf. Psalm 67: 6-7, 36
Khudá jo apne pák maskan men rahtá hai
ya‘ní wuh Khudá jo bekason ko ghar men basátá hai
wuhí apne logon ko quwat aur táqat bakhshegá.

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Dúsrá Mulúk) 2 Kings 4:42-44
Wuh kháenge aur un se bach bhí jáegá

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 144:10-11, 15-18 Jamá‘ati jawáb áyat: 16
Ai Khudáwand tú apne háth kholtá hai,
aur hamarí khwáhishen purí kartá hai.

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Ifisíon Ke Nám) Ephesians 4:1-6
Ek badan, ek Khudáwand, ek ímán, ek baptisma

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: cf. (Yúhanná) John 6:63, 68
Hallelujah Hallelujah 
Ai Khudáwand terí báten rúh hain
Aur zindagí bhí hain:
hamesha kí zindagí kí báten to tere hí pás hain.
Hallelujah 

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq) John 6:1-15
Yisú‘ ne wuh roṭíyánn aur uhen jo baiṭhe the jis qadr wuh cháhte the bánṭ dín
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
 (Zabúr) Ps 102: 2
Ai merí ján Khudáwand ko mubárak kah
aur us ke kisí ihsán ko farámosh na kar.
Or
(Matí) Mt 5: 7-8
Mubárak hain wuh jo rahmdil hain un par rahm kiyá jáegá.
Mubárak hain wuh jo pákdil hain wuh Khudá ko dekhenge.

....

Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

Wednesday 25 July 2012

Restless Heart: The Confessions of Augustine | Trailer




In this stirring and epic new film on the life of St. Augustine of Hippo, follow the great saint as he rises from his reckless days as a youth to his accomplishments as a renowned but dissolute orator. Though worldly success and riches come his way, including a position in the imperial court of Milan, satisfaction and peace elude him. It takes a confrontation with the Christian bishop Ambrose and the countless prayers offered by his patient mother, Monica, to break through his intellectual pride.


Starring Alessandro Preziosi, Monica Guerritore, Johannes Bandrup, and Franco Nero.


Coming Fall 2012. Find out more at www.RestlessHeartFilm.com

Saturday 21 July 2012

22nd July 2012 - Sixteenth Sunday in Ordinary Time B


Sál ke daurán solahwán Itwár (B)

khilah (Entrance Antiphon):
 (Zabúr) Cf. Psalm 53: 6, 8
Dekho Khudáwand merá madadgár hai.
Khudáwand merí ján ká muháfiz hai.
Main khush dilí ke sáth tere liye qurbáníán guzarúngá.
Ai Khudáwand main tere nám kí khúbíán biyan karúngá.


Readings
Pahlí Tiláwat:
(Irmiyá nabí kí kitáb) Jeremiah 23:1-6
Main apne galle ká baqíya khud jama‘ karúngá aur un par charwáhe muqarrar karúngá.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr 22(23): Psalm 22:1-6 Jamá‘ati jawáb áyat: 1
Khudáwand merá chaupán hai
mujhe koí kamí nahin

Khudáwand merá chaupán hai mujhe kamí nahín.
Wuh mujhe harí harí charágáhon men biṭhátá hai:
Wuh mujhe ráhat kí nadíon ke pás le játá hai.
Wuh merí ján ko bahál kartá hai

Khudáwand merá chaupán hai
mujhe koí kamí nahin

Wuh mujhe apne nám kí khátir
sidhí ráhon par le chaltá hai.
Agarchi main táríkí kí wádí men guzaron,
Main kisí áfat se na darúngá,
kyúnki tú mere sáth hai:
Terá ‘asá aur terí láṭhí
yih merí tasallí ká bá‘is hain.

Khudáwand merá chaupán hai
mujhe koí kamí nahin

Tú mere mukhálifon ke rúbarú
mere áge dastarkhwán bichhátá hai:
Tú mere sir ko tel se maltá hai,
merá jám labrez hotá hai.

Khudáwand merá chaupán hai
mujhe koí kamí nahin

Merí zindagí ke tamám ayyám men
bhalái aur karam mere sáth honge
Aur zamánon kí darází tak.
Main Khudáwand ke ghar men rahúngá.

Khudáwand merá chaupán hai
mujhe koí kamí nahin

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Ifisíon Ke Nám) Ephesians 2:13-18
Main Yisú‘ hamárí, sulh hai jis ne donon ko ek kar diyá hai.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: (Yúhanná) John 10:27

Hallelujah Hallelujah 
Khudáwand farmátá
merí bheṛen merí áwáz suntí hain
main unhen jántá hún
aur wuh mere píchhe píchhe átí hain.
Hallelujah 

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Marqus ke  mutábiq) Mark 6:30-34
Wuh un bheṛon kí mánind the, jin ká charwáhá na ho.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
 (Zabúr) Ps 110: 4-5
Us ne apne ‘ajib kámon ko qábil-i yád ṭhahráyá hai
Khudáwand rahmán aur rahím hai. Us ne apne ḍarnewálon ko khurák dí.
Or
(Mukáshafa) Rv 3: 20
Khudáwand farmátá hai ki dekh main darwáze par khaṛá hún, aur khaṭkhaṭá rahá hún.
Agar koí merí áwáz sune aur mere liye darwáza khole to main us ke pás andar áún
aur ham mil kar shám ká kháná kháenge.

.....
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

Thursday 19 July 2012

Panjabi Zabur 1 (Dujá Wazan)


Hai kyá hí mubárak oho ádmí,  Mazmúr 1(Dujá Wazan)[i]

Hai kyá hí mubárak oho ádmí,
Saláh de sharírán dí chaldá nahín,

Na buráiyán de ráh utte rahndá khaṛá,
Makhaulíán dí jhunḍḍi wich na baiṭhdá.

Khudá dí sharí‘at de wich hai magan,
Hai din rát ose dí ohnún lagan.

Oh os búṭe wángar hai rahndá hará,
Jo nahr de utte hai laggíá hoiá

Oh phal dendá hai apne wele se tí,
Na sukhdá koí ohdá pattar kadí.

Oh sab apne kámmán de wich hai bhalá,
Te rahndá-e phuldá te phaldá sadá.

Ajehá nahín par sharírán dá hál,
Oh uḍ jánde bho uḍḍá jíún wá de nál.

‘Adálat de thán na khalowán badkár,
Na bad othe ṭhairán jithe hon sachchiár.

Khudá sachcháiyán dá hai ráh jándá,
Sharírán dá ráh nás ho jáwegá.

In Shahmukhi Script

Psalm 1

Revised Version
Hai kyá hí mubárak oho ádmí,  Mazmúr 1(Dujá Wazan)

Hai kyá hí Mubárak oho ádmí,
Saláh de sharírán dí chaldá nahín,

Na buráiyán de ráh utte rahndá khaṛá,
Makhaulí dí jhunḍḍi wich na baiṭhdá.

Sharí‘  wich yahowáh dí hai oh magan,
Hai din rát ose dí ohnún lagan.

Oh os búṭe wángar hai rahndá hará,
Jo nahrán de utte hai laggíá hoiá

Oh phal dendá hai apne wele se tí,
Na sukhdá koí ohdá pattar kadí.

Oh sab apne kámmán de wich hai bhalá,
Te rahndá-e phuldá te phaldá sadá.

Ajehá nahín par sharírán dá hál,
Oh uḍ jánde bho uḍḍá jíún wá de nál.

‘Adálat de thán na khalowán badkár,
Na bad othe ṭhairán jithe hon sachchiár.

Khudá sachcháiyán dá hai ráh jándá,
Sharírán dá ráh nás ho jáwegá.
-----

For commentary on the Psalm 1 by St. Thomas Aquinas click here  also by St Augustine click here
To download Pdf click here


[i] (Zabúr)Ps 1.1-6, From  the Punjabi metrical Psalter translated and composed by Rev. Dr. Imam Din Shahbaz (1885 - 1921)

Tuesday 17 July 2012

Dr. Peter Kreeft - How to Win the Culture War



How to Win the Culture War: A Christian Battle Plan for a Society in Crisis book can bought here

Friday 13 July 2012

15th July 2012 - Fifteenth Sunday in Ordinary Time B


Sál ke daurán pandarahwán Itwár (B)

khilah (Entrance Antiphon):
 (Zabúr) Cf. Ps 16:15
Main sadáqat men terá dídár hásil karún
aur jágte húe tere hazúr ser húngá.

Readings
Pahlí Tiláwat:
(‘Ámús nabí kí kitáb) Amos 7:12-15
Já aur merí ummat ke liye nubuwwat kar

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 84:9-14 Jamá‘ati jawáb áyat: 8
Ai Khudáwand apní shafaqat hamen dikhá
aur apní naját hamen bakhsh

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Ifisíon Ke Nám) Ephesians 1:3-14
Khudá ne biná e ‘álam se peshtar hamen chun liyá.
                                                                                 
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: cf. (Yúhanná) John 6:63, 68
Hallelujah Hallelujah 
Ai Khudáwand terí báten rúh hain
Aur zindagí bhí hain:
hamesha kí zindagí kí báten to tere hí pás hain.
Hallelujah 
            
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Marqus ke  mutábiq) Mark 6:7-13
Yisú‘ ne shágirdon ko báhir bhejná shurú‘ kiyá.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
cf: (Zabur) Psalm: 83:4-5)
Chiṛiyá ko bhí ṭhikána miltá hai
aur abábíl ko ghonslá jahán apne bachchon ko rakkhe
yani tere mazbahon ke pás ai Rabb u’l afwáj, ai mere bádsháh aur ai mere Khudá
mubárak hain wuh jo tere ghar men rahte hain
wuh to hamesha terí sitáish karte hain.
Or
(Yúhanná ) John 6: 57
Khudáwand farmátá hai ki jo merá gosht khátá aur merá khún pítá hai,
wuh mujh men qáim rahtá hai, aur main us men.

 ----
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

Saturday 7 July 2012

8th July 2012 - Fourteenth Sunday in Ordinary Time B


Sál ke daurán chaudhwán Itwár (B)

khilah (Entrance Antiphon):
 (Zabúr) Cf. Ps 47: 10-11
Ai Khudá terí haikal ke andar terí shafaqat ko yád karte hain. Ai Khudá tere nám kí mánind terí ta‘rif bhí zamín kí intihá tak pahunchtí hai.

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Hizqiál nabí kí kitáb) Ezekiel 2:2-5
Yih sarkash aur sakhtdil farzand hain, wuh ján lenge ki un ke darmiyán ek nabí hai.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 122:1-5 Jamá‘ati jawáb áyat: 2
Hamarí ánkhen Khudáwand par lagí hain jab tak wuh ham par rahm na farmáe.

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Dúsrá Khatt Qurinthíon Ke Nám) 2 Corinthians 12:7-10
Main apní kamzoríon par fakhr karúngá, táki Masih kí qudrat mujh men rahe.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: cf. (Yúhanná) John 1:14, 12
Hallelujah Hallelujah 
Kalma mutajassad húá, aur ham men sukúnat pazir húá.
Jinhon ne use qabúl kiyá.
Us ne unhen iqtidár bakhshá ki Khudáwand ke farzand banen.
Hallelujah 

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Marqus ke  mutábiq) Mark 6:1-6
Nabí sirf apne watan men hí be‘izzat hotá hai.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.
Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
 (Zabúr) Ps 33: 9
Chakho aur dekho Khudáwand kaisá bhalá hai, mubárak hai wuh ádmí jo us kí panáh letá hai.
Or
(Matí) Mt 11: 28
Khudá farmátá hai ki, ai sab thake mándo, aur bojh se dabe húe mere pás áo, main tumhen árám dúngá.
 ....
Podcasts:

For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here 

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here