Wednesday 29 February 2012

Prayer to my Guardian Angel

Nigáhbán Farishte Se Du‘á

Khudá ke farishte jo merá nigáhbán hai. 
Iláhí rahmat ne mujhe tere supurd kiyá hai. 
Tú mujhe raushan kar. 
Merí hifázat, hidáyat aur rahnumáí kar. 
Ámín

Saturday 25 February 2012

26th February, 2012 - First Sunday of Lent


Rozon Pahlá Itwár

Dákhilah (Entrance Antiphon):
 (Zabúr) cf. Psalm 90:15-16
Wuh mujhe pukáregá aur main us kí sunongá.
Main use  chhuṛáúngá aur use jalál bakhshúngá.
Main use ayám kí darází se mutmain karúngá aur apní naját use dikáún

Readings
Pahlí Tiláwat:  (Takwín) Genesis 9:8-15
Núh ke sáth Khudá ká ‘ahd jab túfán ke pání se salámat bacháyá
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: 24:4-9 Jamá‘ati jawáb áyat: 10
(Jamá‘ati jawáb): Ai Khudáwand terí sab ráhen un ke liye rahmat aur sadáqat hain
jo tere ‘ahd ko mánte hain.

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Patras Rasúl Ká Pahlá Khatt) 1Peter 3:18-22
Paní mushábih hai baptisma ke jo ap tumhen bachátá hai.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Na‘rah-e Hamd:
(Matí) Matthew 4:4
Insán sirf roṭí hí se nahín jítá
balki har ek Kalme se jo Khudá ke munh se nikaltá hai.

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Marqus ke mutábiq ) Mark1:12-15
Yisú‘ ko shaitán ázmátá rahá aur phir firishton ne á kar us kí khidmat kí
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Matí) Matthew 4:4
Insán sirf roṭí hí se nahín jítá
balki har us Kalme se jo Khudáwand ke munh se nikaltá hai.
or
(Zabúr) Psalm 90:4
Khudáwand tujh par apne paron ká sáya karegá
aur us ke bázúon ke níche tujhe panáh milegí.

Thursday 23 February 2012

Psalm 99 (100)


Mazmúr 99

Ai tamám mumálik, Khuáwand ke liye lalkáro,
Khushí ke sáth Khudáwand kí ‘ibádat karo
Khushí ilháni karte húe us ke hazúr dákhil ho

Ján lo ki Khuáwand hí Khudá hai
Usí ne hamen banáyá hai, Aur ham usí ke hain
yani usí kí ummat, aur us kí charágáh kí bherẹn

Ta‘ríf karte húe us kí bárgáhon menkhil ho
Us ká shukr karo
Us ke nám ko mubárak kaho

Kyúnki Khudáwand nek hai
Us kí rahmat abad tak
Aur us kí wafá pusht dar pusht qáim hai


Jalál Báp aur Beṭe aur Rúhu’l Quds ká ho
jaisá ke ibtidá men thá, ab hai, aur hamesha hogá. Ámín

Morning Prayer (Lauds) Psalter Week 1 and 3 on Friday
For Bl. Pope John Paul II’s Meditation on Psalm 99 (100) click here and here

Tribute to Shahbaz Bhatti and Memorial

A moving tribute by the ICV Youth




For more info click here
On March 2, International Christian Voice — the Toronto-based human rights organization run by Peter Bhatti, Shahbaz’s brother — is holding a memorial dinner at the Woodbine Banquet and Convention Centre in Toronto, Canada click here

In the UK, Upcoming events commemorating the assassination of Shahbaz Bhatti and his legacy.


Christian Social Link (CSL) cordially invites you to pay Tribute to Shahbaz Bhatti on First Anniversary of his Shahadat
Friday, March 02, 2012 at 6pm 
Holy Trinity Church, 
Park View Road, Southall, 
Middlesex UB1 3HJ 
• Note: Dinner will be served
• Parking is free
• For further information Call-SMS on 07403072294 • 07832980241 • 07800738390

Prayer and Fasting For The persecuted Christians in Pakistan
Remembering those who have lost their lives, suffering persecution for their faith and also those who are in prison.

1.   Friday, 2nd March 2012, The Stations of the Cross (English) at 7 pm at Christ Church, Carr Road, Nelson
2.   Saturday, 3rd March 2012, Holy Rosary (English and Urdu) at 12pm, St. John Southworth, Vaughn street, Nelson
3.   Sunday, 4th March 2012
Memorial Mass for Shahbaz Bhatti
Time: 3 pm
Christ Church, Carr Road,
Nelson. BB9 7EN
Fore more info Contact: Mr. Ashiq Ghulam; 07707157119, Mr. Akmal Zahid: 07886235634, Mr. Vincent Masih 07515928288, Mr. Bernard Variyam 07739387986

Peace Rally and Concert, Trafalgar Square, London 10th March 2012 organised by BPCA, For more details click here
London based Band Ooberfuse will be performing their song "Blood Cries Out" (inspired by Shahbaz Bhatti) written specifically to mark the anniversary of his assassination.


Act of Contrition

Tauba ká ‘amal (I)

Ai mere Khudá
main apne sare dil se
pashemán hún ki
main terí behadd nekí
aur buzurgí ke khiláf
gunáh kiyá hai
main apne sab gunáhon
se nafrat kartá hún kyúnki
wuh tujhe na khush karte hain
Ai mere Khudá tú jo
sab píyár ke láiq hai
aur main mazbútí se iráda kartá n
ki tere Pák  fazl ḱí madad se
phir hargiz tujhe náráz na karún
balki gunáhon kí ráhon
se kinára karún
Ámín

Tauba ká ‘amal (II)

Ai mere Khudá
Mujhe sakht afsos hai ki
main ne gunáh karke
tere píyár ko bhúlá diyá.
main ab se
terí madad ke sáth
gunáh se dúr
aur terí mahabbat men
qáim rahún
Ámín

Click for Tauba kí Níyat

Wednesday 22 February 2012

Psalm 51: Miserere


Mazmúr 50 (51)

Ai  Khudá, apní rahm dilí ke mutábiq mujh par rahm kar.
Aur apní rahmaton kí kasrat ke mutábiq, mere gunáh miṭá de.
Merí badí  ko achchhí tarah se mujh se dho ḍál
Aur merí khatá se mujhe pák kar
Kyúnki main apní ná rástí se wáqif hún
Aur merá gunáh har waqt mere peshe nigáh hai
Main ne sirf terá hí gunáh kiyá hai
Aur mujh se wuh kám húá hai, jo terí nazar men burá hai
Táki tú apne fatwá men ‘ádil
Aur apne insáf men be ilzám ṭhahre
Dekh main ne khatá kí hálat men súrat pakṛí
Aur gunáh kí halat men, apní mán ke batn men paṛa
Dekh tú sadáqat-e dil ko pasand kartá hai
Aur bátin men mujhe hikmát sikhátá hai
Zúfá se mujhe pák kar, to main sáf ho jáún
Mujhe dho dál, to main barf se ziyáda safed ho jáún
Mujhe khushí, aur khurramí kí báten suná
jo haḍḍiyán tú ne toṛ ḍálín, wuh shádmání karen
mere gunáhon se chashm-poshí kar
aur merí sab khatáon ko miṭá de
ai Khudá, mujh men ek pák dil paidá kar
aur naye  sire se ek mustaqím rúh, mere bátin men ḍál
apne chihre ke sámne se mujhe khárij na kar
aur apní pák rúh mujh se alag na kar
apní naját kí shádmání mujhe phir ‘ináyat kar
aur isti‘dád rúh se mujhe mazbút kar
main khatákáron ko terí ráhen sikháún
aur gunahgár terí taraf rujú‘ láhenge
ai Khudá, ai mere mukhlis Khudá
mujhe khún ke jurm se chhuṛá
merí zubán terí sadáqat se masrúr ho
ai Khudáwand, mere honṭhon ko khol de
to merá munh terí ta‘rif  bayán karegá
tú to zabíhah pasand nahín kartá
aur agar main sokhtaní qurbání bhí dún to tú khush nahín hotá
Ai Khudá, shikasta rúh merí qurbání hogí
Ai Khudá, shikasta aur khák-nishín dil ko haqír na jánegá
Ai Khudáwand, apne karam ke mutábiq Siyyún ke sáth bhaláí kar
Aur Yarúshalem kí díwáron ko az-sare-nau ta‘mír kar
Tab tú láiq qurbániyan, nazráne aur zabíhe qabúl karegá
Aur tere mazbah par bachhṛe chaṛháe jáenge.

-----
For Pope John Paul II’s Meditation on Psalm 51 (50) click here

Tuesday 21 February 2012

Ash Wednesday


Rákh ká budh

khilah (Entrance Antiphon):
 (Hikmat) Wisdom 11:24,25,27
Ai Khdáwand tú sab maujúdát ko piyá kartá hai.
Tú kisí bhí chíz se jo tú ne banáí hai nafrat nahín kartá.

Readings
Pahlí Tiláwat: Yúel nabi kí kitáb Joel 2:12-18
Apne dilon ko chák karo, na ki apne kapṛon
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 50 Jamá‘ati jawáb áyat: 3
(Jamá‘ati jawáb) Ai Khudá ham par raham kar, kyúnki ham gunahgár hain

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Dusrá Khatt Qurinthíon Ke Nám) 2 Corinthians 5:20 - 6:2
Khudá se mel kar lo, ab qabúlíyat ká waqt hai
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Na‘rah-e Hamd:
Zabúr  50:12,14
ai Khudá, mujh men ek pák dil paidá kar,
aur apní naját kí shádmání mujhe ‘ináyat kar

Injíl I Muqaddas:
Muqaddas Matí ke mutábiq Matthew 6:1-6. 16-18
Tera Báp, jo poshídagí men dekhtá hai, tujhe badla degá.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
 (Zabúr) Psalm 1:2-3
Jo ádmí din rát Khudáwand kí  sharí‘at par dhyán lagátá hai,
wuh apne waqt par phal láegá.


-----
To learn more about Ash Wednesday click here and here

Stations of Cross in urdu

Just added a new page with Stations of Cross in Roman Urdu. Please click the link on the side or  Salíbí Ráste Ke Chauda Maqám


Four Audio click here

Also for a Prayer before a Crucifix click here.

For other pages click the links below:
Holy Rosary in Roman Urdu
The Order Of Mass in Roman Urdu

Prayer and Fasting


Prayer and Fasting
For
The persecuted Christians in Pakistan



Tab Yisú‘ ne apne shágirdon se kahá: “Agar koí mere pichhe áná cháhe, to wuh khud inkarí kare, aur apní salíb uṭháe, aur mere pichhe ho le. Kyúnki jo koí apní ján bacháná cháhe wuh use khoegá, aur jo koí merí khátir apní ján khoegá wuh use bacháegá” Matthew 16:24-25

Remembering those who have lost their lives, suffering persecution for their faith and also those who are in prison.

1.   Friday, 2nd March 2012, The Stations of the Cross (English) at 7 pm at Christ Church, Carr Road, Nelson
2.   Saturday, 3rd March 2012, Holy Rosary (English and Urdu) at 12pm, St. John Southworth, Vaughn street, Nelson
3.   Sunday, 4th March 2012
Memorial Mass for Shahbaz Bhatti
Time: 3 pm
Christ Church, Carr Road,
Nelson. BB9 7EN

Saturday 18 February 2012

Sunday 19 February 2012, 7th Sunday of the year


Sál Ke Daurán Sátwán Itwár (B)

khilah (Entrance Antiphon):
 (Zabúr) Psalm 12:6
Ai Khdáwand main ne terí rahmat par tawakkul kiyá hai.
Merá dil terí naját se khush húá.
Main Khdáwand ki liye gáúngá. Kyúnki us ne mujh par ihsán kiyá hai.

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Yasa‘iya nabí ká sahífa) Isaiah 43:18-19. 21-22. 24-25
Yih mainn jo sab kuch miṭátá hún
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: 40:2-5. 13-14 Jamá‘ati jawáb áyat: 5
(Jamá‘ati jawáb) Mujhe shifá de kyúnki main ne terá gunáh kiyá hai.

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Dusrá Khatt Qurinthíon Ke Nám) 2 Corinthians 1:18-22
Yisú‘ “hán aur nahín” kabhí nahín ho, balki us kí har waqt “hán” hí thí
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: John 1:12. 14
Hallelujah Hallelujah
Kalma mutajassad húá, aur ham men sukúnat pazir húá. Jinhon ne use qabúl kiyá. Us ne unhen iqtidár bakhshá ki Khudáwand ke farzand banen.
Hallelujah 

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Marqus ke mutábiq) Mark 2:1-12
Ibne Insán ko zamín par gunáh karne ká ikhityár hai.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
 (Zabúr) Psalm 9:2-3
Ai Haqq Ta‘álá, main tere ‘ajíb kámon ká bayán karúngá,
Main tujh men khush aur shádmán  rahúngá,
Main tere nám kí madah sarahí karúngá.
Or
(Yúhanná ) John 11:27
Ai Khudáwand main ímán láyá ki tú Masíh zinda Khudá ká Beṭá hai, jo dunyá men áyá. 

Thursday 16 February 2012

Prayer before a Crucifix



Salíb ke sámne du‘á


Dekh ai mihrbán aur narm dil Yisú‘, 
Main tere huzúr dozánú hotá hún
aur apní rúh kí niháyat garm-joshi ke sáth, 
terí minnat kartá hún
ki tú mere dil men ímán, ummed, aur piyár ka tez fahm, 
aur apní khatáon kí ek sachchí tauba, 
aur un ke durust karne ko, 
niháyat mazbút iráda paidá kar.


Jab main Dáúd nabí ke un lafzon ko yád kartá hún
jo us ne peshtar hí terí bábat kahe, 
ki unhon ne mere háth aur pánw chhede, 
aur merí sárí haḍḍiyan ginín
To main baṛe piyár aur gham ke sáth, 
tere pánchon zakhmon par, 
apne dil men ghaur kartá hún


Ámín.

Tuesday 14 February 2012

Pope's Lenten Message



Benedict XVI's message for Lent 2012, focuses on the theme of charity. Under the slogan "Let us be concerned for each other, to stir a response in love and good works," the Pope asks the faithful to be more attentive to the needs of others, especially during the 40 days of Lent.



Dear Brothers and Sisters,
The Lenten season offers us once again an opportunity to reflect upon the very heart of Christian life: charity. This is a favourable time to renew our journey of faith, both as individuals and as a community, with the help of the word of God and the sacraments. This journey is one marked by prayer and sharing, silence and fasting, in anticipation of the joy of Easter.
This year I would like to propose a few thoughts in the light of a brief biblical passage drawn from the Letter to the Hebrews: "Let us be concerned for each other, to stir a response in love and good works". These words are part of a passage in which the sacred author exhorts us to trust in Jesus Christ as the High Priest who has won us forgiveness and opened up a pathway to God. Embracing Christ bears fruit in a life structured by the three theological virtues: it means approaching the Lord "sincere in heart and filled with faith" (v. 22), keeping firm "in the hope we profess" (v. 23) and ever mindful of living a life of "love and good works" (v. 24) together with our brothers and sisters. The author states that to sustain this life shaped by the Gospel it is important to participate in the liturgy and community prayer, mindful of the eschatological goal of full communion in God (v. 25).
Here I would like to reflect on verse 24, which offers a succinct, valuable and ever timely teaching on the three aspects of Christian life: concern for others, reciprocity and personal holiness.
1. "Let us be concerned for each other": responsibility towards our brothers and sisters
This first aspect is an invitation to be "concerned": the Greek verb used here is katanoein, which means to scrutinize, to be attentive, to observe carefully and take stock of something. We come across this word in the Gospel when Jesus invites the disciples to "think of" the ravens that, without striving, are at the centre of the solicitous and caring Divine Providence (cf. Lk 12:24), and to "observe" the plank in our own eye before looking at the splinter in that of our brother (cf. Lk 6:41). In another verse of the Letter to the Hebrews, we find the encouragement to "turn your minds to Jesus" (3:1), the Apostle and High Priest of our faith. So the verb which introduces our exhortation tells us to look at others, first of all at Jesus, to be concerned for one another, and not to remain isolated and indifferent to the fate of our brothers and sisters. All too often, however, our attitude is just the opposite: an indifference and disinterest born of selfishness and masked as a respect for "privacy".
Today too, the Lord’s voice summons all of us to be concerned for one another. Even today God asks us to be "guardians" of our brothers and sisters (Gen 4:9), to establish relationships based on mutual consideration and attentiveness to the well-being, the integral well-being of others. The great commandment of love for one another demands that we acknowledge our responsibility towards those who, like ourselves, are creatures and children of God. Being brothers and sisters in humanity and, in many cases, also in the faith, should help us to recognize in others a true alter ego, infinitely loved by the Lord. If we cultivate this way of seeing others as our brothers and sisters, solidarity, justice, mercy and compassion will naturally well up in our hearts. The Servant of God Pope Paul VI stated that the world today is suffering above all from a lack of brotherhood: "Human society is sorely ill. The cause is not so much the depletion of natural resources, nor their monopolistic control by a privileged few; it is rather the weakening of brotherly ties between individuals and nations" (Populorum Progressio, 66).
Concern for others entails desiring what is good for them from every point of view: physical, moral and spiritual. Contemporary culture seems to have lost the sense of good and evil, yet there is a real need to reaffirm that good does exist and will prevail, because God is "generous and acts generously" (Ps 119:68). The good is whatever gives, protects and promotes life, brotherhood and communion. Responsibility towards others thus means desiring and working for the good of others, in the hope that they too will become receptive to goodness and its demands. Concern for others means being aware of their needs.
Sacred Scripture warns us of the danger that our hearts can become hardened by a sort of "spiritual anesthesia" which numbs us to the suffering of others. The Evangelist Luke relates two of Jesus’ parables by way of example. In the parable of the Good Samaritan, the priest and the Levite "pass by", indifferent to the presence of the man stripped and beaten by the robbers (cf.Lk 10:30-32). In that of Dives and Lazarus, the rich man is heedless of the poverty of Lazarus, who is starving to death at his very door (cf. Lk 16:19). Both parables show examples of the opposite of "being concerned", of looking upon others with love and compassion. What hinders this humane and loving gaze towards our brothers and sisters?
Often it is the possession of material riches and a sense of sufficiency, but it can also be the tendency to put our own interests and problems above all else. We should never be incapable of "showing mercy" towards those who suffer. Our hearts should never be so wrapped up in our affairs and problems that they fail to hear the cry of the poor. Humbleness of heart and the personal experience of suffering can awaken within us a sense of compassion and empathy. "The upright understands the cause of the weak, the wicked has not the wit to understand it" (Prov 29:7). We can then understand the beatitude of "those who mourn" (Mt 5:5), those who in effect are capable of looking beyond themselves and feeling compassion for the suffering of others. Reaching out to others and opening our hearts to their needs can become an opportunity for salvation and blessedness.
"Being concerned for each other" also entails being concerned for their spiritual well-being. Here I would like to mention an aspect of the Christian life, which I believe has been quite forgotten:fraternal correction in view of eternal salvation.
Today, in general, we are very sensitive to the idea of charity and caring about the physical and material well-being of others, but almost completely silent about our spiritual responsibility towards our brothers and sisters. This was not the case in the early Church or in those communities that are truly mature in faith, those which are concerned not only for the physical health of their brothers and sisters, but also for their spiritual health and ultimate destiny. The Scriptures tell us: "Rebuke the wise and he will love you for it. Be open with the wise, he grows wiser still, teach the upright, he will gain yet more" (Prov 9:8ff). Christ himself commands us to admonish a brother who is committing a sin (cf. Mt 18:15). The verb used to express fraternal correction - elenchein – is the same used to indicate the prophetic mission of Christians to speak out against a generation indulging in evil (cf. Eph 5:11). The Church’s tradition has included "admonishing sinners" among the spiritual works of mercy. It is important to recover this dimension of Christian charity.
We must not remain silent before evil. I am thinking of all those Christians who, out of human regard or purely personal convenience, adapt to the prevailing mentality, rather than warning their brothers and sisters against ways of thinking and acting that are contrary to the truth and that do not follow the path of goodness. Christian admonishment, for its part, is never motivated by a spirit of accusation or recrimination. It is always moved by love and mercy, and springs from genuine concern for the good of the other. As the Apostle Paul says: "If one of you is caught doing something wrong, those of you who are spiritual should set that person right in a spirit of gentleness; and watch yourselves that you are not put to the test in the same way" (Gal 6:1).
In a world pervaded by individualism, it is essential to rediscover the importance of fraternal correction, so that together we may journey towards holiness. Scripture tells us that even "the upright falls seven times" (Prov 24:16); all of us are weak and imperfect (cf. 1 Jn 1:8). It is a great service, then, to help others and allow them to help us, so that we can be open to the whole truth about ourselves, improve our lives and walk more uprightly in the Lord’s ways. There will always be a need for a gaze which loves and admonishes, which knows and understands, which discerns and forgives (cf. Lk 22:61), as God has done and continues to do with each of us.
2. "Being concerned for each other": the gift of reciprocity
This "custody" of others is in contrast to a mentality that, by reducing life exclusively to its earthly dimension, fails to see it in an eschatological perspective and accepts any moral choice in the name of personal freedom. A society like ours can become blind to physical sufferings and to the spiritual and moral demands of life. This must not be the case in the Christian community! The Apostle Paul encourages us to seek "the ways which lead to peace and the ways in which we can support one another" (Rom 14:19) for our neighbour’s good, "so that we support one another" (15:2), seeking not personal gain but rather "the advantage of everybody else, so that they may be saved" (1 Cor 10:33). This mutual correction and encouragement in a spirit of humility and charity must be part of the life of the Christian community.
The Lord’s disciples, united with him through the Eucharist, live in a fellowship that binds them one to another as members of a single body. This means that the other is part of me, and that his or her life, his or her salvation, concern my own life and salvation. Here we touch upon a profound aspect of communion: our existence is related to that of others, for better or for worse. Both our sins and our acts of love have a social dimension. This reciprocity is seen in the Church, the mystical body of Christ: the community constantly does penance and asks for the forgiveness of the sins of its members, but also unfailingly rejoices in the examples of virtue and charity present in her midst. As Saint Paul says: "Each part should be equally concerned for all the others" (1 Cor 12:25), for we all form one body.
Acts of charity towards our brothers and sisters – as expressed by almsgiving, a practice which, together with prayer and fasting, is typical of Lent – is rooted in this common belonging. Christians can also express their membership in the one body which is the Church through concrete concern for the poorest of the poor. Concern for one another likewise means acknowledging the good that the Lord is doing in others and giving thanks for the wonders of grace that Almighty God in his goodness continuously accomplishes in his children. When Christians perceive the Holy Spirit at work in others, they cannot but rejoice and give glory to the heavenly Father (cf. Mt 5:16).
3. "To stir a response in love and good works": walking together in holiness
These words of the Letter to the Hebrews (10:24) urge us to reflect on the universal call to holiness, the continuing journey of the spiritual life as we aspire to the greater spiritual gifts and to an ever more sublime and fruitful charity (cf. 1 Cor 12:31-13:13). Being concerned for one another should spur us to an increasingly effective love which, "like the light of dawn, its brightness growing to the fullness of day" (Prov 4:18), makes us live each day as an anticipation of the eternal day awaiting us in God. The time granted us in this life is precious for discerning and performing good works in the love of God. In this way the Church herself continuously grows towards the full maturity of Christ (cf. Eph 4:13). Our exhortation to encourage one another to attain the fullness of love and good works is situated in this dynamic prospect of growth.
Sadly, there is always the temptation to become lukewarm, to quench the Spirit, to refuse to invest the talents we have received, for our own good and for the good of others (cf. Mt 25:25ff.). All of us have received spiritual or material riches meant to be used for the fulfilment of God’s plan, for the good of the Church and for our personal salvation (cf. Lk 12:21b; 1 Tim 6:18). The spiritual masters remind us that in the life of faith those who do not advance inevitably regress. Dear brothers and sisters, let us accept the invitation, today as timely as ever, to aim for the "high standard of ordinary Christian living" (Novo Millennio Ineunte, 31). The wisdom of the Church in recognizing and proclaiming certain outstanding Christians as Blessed and as Saints is also meant to inspire others to imitate their virtues. Saint Paul exhorts us to "anticipate one another in showing honour" (Rom 12:10).
In a world which demands of Christians a renewed witness of love and fidelity to the Lord, may all of us feel the urgent need to anticipate one another in charity, service and good works (cf. Heb 6:10). This appeal is particularly pressing in this holy season of preparation for Easter. As I offer my prayerful good wishes for a blessed and fruitful Lenten period, I entrust all of you to the intercession of the Mary Ever Virgin and cordially impart my Apostolic Blessing.

Saturday 11 February 2012

12th February 2012 - Sixth Sunday in Ordinary Time B


Sál ke daurán chhaṭhá Itwár (B)


Dákhilah (Entrance Antiphon):

 (Zabúr) Psalm 30:3-4
Tú mere liye muháfiz, aur jáe-panáh ho, aur mujhe naját bakhsh, kyúnki tú merí chaṭán, aur merá qil‘a hai. Tú apne nám kí khátir merí hidáyat aur parwarish karegá.

Readings

Pahlí Tiláwat:
(Ahbár kí kitáb) Leviticus 13:1-2, 44-46
Baras ká maríz khaíma gáh men na rahe balki ‘aláhida rahe

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 31:1-2. 5. 11,  Jamá‘ati jawáb áyat: 7
Ai Khudáwand tú merí jáe-panáh hai,
Tú naját ke jashn se mujhe ghere hai


Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Qurinthíon Ke Nám) 1 Corinthians 10:31-11:1
Tum merá namúna lo jaise ki main Masíh ká namúna letá hún.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: cf. (Ifisíon) Ephesians 1:17-18
Hallelujah Hallelujah 
Hamáre Khudáwand Yisú‘ ká Báp
tumháre dil kí ánkhen raushan kare
táki tum samajh lo, ki us ke buláwe men tumháre liye kyá ummed hai
Hallelujah 

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Marqus ke  mutábiq) Mark 1:40-45
Fauran us ká koṛh játá rahá aur wuh pák sáf ho gayá
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
 (Zabúr) Psalm 77:29-30
Khudá ke chunne húe log khákar khúb ser húe aur Khudáwand ne un kí tamanná un ko bakhshí. Wuh apní khwáish se mahrúm na rahe.
Or
(Yúhanná ) John 3:16
Khudá ne duniyá ko aisá piyár kiyá ki us ne apná iklautá Beṭá bakhsh diyá, táki jo koí us par ímán láe wuh halák na ho balki hamesha kí zindagí páe.